PAKISTAN MEIN OLD AGE HOMES KA BARHTA HUA RUJHAAN
Walidain dunya ka sabse azeem tohfa hain , yeh woh rishta hai
jiski muhabbat aur qurbaniyon per koi shak nahi , yeh rishta Allah ki apne
bandon se be panah muabbat ki nishani hai k woh apni makhlooq ki khair khuahi
chahta hai aur unhen kabhi tanha nahi chorhta . Jab bacha paida hota hai to woh nihayat bebas hota hai us waqt sirf walidain hotay hain jo us ki bhook mitate
hain , sardi garmi se bachatay hain aur unka har tarah se khayal rakhte hain
aur inhen kabhi tanha nahi chorhtay lekin jab waqt guzar jata hai aur maa , baap
boorhay hojate hain aur aulad jawan hojati hai to walidain ka wujood kuch
bachon per nagawar guzarta hai , jab maa , baap aulad k muhtaj hotay hain to
aulad unse bezar hojati hai , inki takleefon aur pareshaniyon se ukta jati hai
, woh apne kaamon ko zyada ahmiat dete hain jab k walidain k sath waqt guzarna
inko waqt ka ziyan lagta hai . Jab maa baap aulad ki tawajoh k muntazir hotay
hain to aulad k paas un k liye waqt nahi hota , yehi waja hai k aj kal old age homes
ka rujhan barhta chala jaraha hai aur log apne walidain aur azeezon ko old age homes mein dakhil krwane ko tarjeeh de rahe hain , yeh sochey baghair k apne rishte
hotay hue bhi woh ghairon k sath zindagi kis tarah guzaren gay .
Aj kal nafsa nafsi ka daur hai , waqt machini hochuka hai ,
rishton mein itni dooriyan aa chuki hain k ab maa , baap , behan , bhai jaise
rishte bhi bojh bangae hain . Nafarman aulad apne walidain ya azeezon ko jab
old age home mein puhancha deti hai to usse ehsas tak nahi hota k un k pyaray
wahan kitni be kasi , tanhai , be basi aur dukhon k sath zindagi guzarenge aur
apni akhri sanson tak apne azeezon ka intezar karte rahenge . Baaz auqat log
apne pyaron ki tadfeen ka intezam kar k samajhte hain k unhone apna haq ada
kardia magar baaz aise bad qismat bhi hotay hain jo apne azeezon ko marnay k
baadhi nahi puchte .
Aj kal jaga jaga khulnay walay old age homes is baat ki
nishani hain k ab rishton mein bht dooriyan a chuki hain aur logon mein rishton
ka ehtiram aur bardasht ka madda khatam hota ja raha hai isi waja se old age
homes mein mojood logon ki tadad mein din-ba-din izafa hota jaraha hai . Agar
in idaron mein ja kr inlogon k sath waqt
guzara jae to in k dukhon ka kuch madawa hoskta hai . Hum achay musalman honay
ka dawa to krte hain lekin amal bilkul bhi nahi karte jab k Islam hamein buzurgon k
sath shafqat se paish anay ka hukum deta hai . Agar hum Allah k ehkamat per
amal karen to woh din door nahi k jab yeh old age homes weeran hojaen gay aur
hamary ghar in buzurgon ki waja se abad hojaen gay . Hamein yeh baat yaad rakhni
chahye k humne jo boya hai wohi kaatna parhega chunachay hum angrezon ki andhi
taqleed mein yeh na bhool jaen k yeh old age homes maghrib ka badtareen tohfa
hai jisse hum mashriqi qaum ne baghair sochay samjhe qubool karlia hai .
COURTESY: GOOGLE IMAGES
ZARA KHALID (M.A PREVIOUS)
No comments:
Post a Comment