JANGALAT KI AHMIAT
Darakht hamari dunya , hamaray mahol k khamosh mahafiz hain
jo k sadion se hamaray qudrati mahol ko bachanay ka kaam kar rahe hain , yeh woh
mahafiz hain jo badlay mein kuch bhi nahi chatay hain , inhen sirf thorhi
tawajo ki zarurat hoti hai jo hum insan inhe dene se katratay hain . Allah ne
jab yeh dunya bnai to is ki baqa aur khubsurati k liye jangalat ko banaya ta k
aik taraf to us ki paida karda makhlooq zinda reh sake aur apni ghizai zarurat
poori kar sake aur yeh dunya haseen nazar asake . Aj k daur mein insan ne bht
taraqi karli hai oonchi oonchi imaratein tameer kar k in mein rihaish ikhtiar
karli hai , dunya se agay doosre sayaron
ki taraf barh raha hai lekin dunya mein pheli hui aloodgi ko khatam karne k lye
iqdamat k baray mein koi thos qadam nahi utha raha hai halan k yeh aik intihai
ahem mamala hai . Dunya mein barhti hui
hiddat aur mausamon mein rad-o-badal ko hurf-e-aam mein global warming kaha
jata hai aik tarah se is kura-e-arz ka ahtejaj hai k is k sath ziyadti ki
jarahi hai aur insanon ko chahye k is k sath zulm band karen aur darkhton ki be
daregh katai band ki jae aur jangalat ko bachaya jae ta k qudrat zinda reh sake
. Agar darkht na hon to har zinda nafs kuch ghanton mein khatam hojae kyun k
darakht hamare liye taza oxygen paida karte hain , aik darkht 5 air conditions
k barabar hawa saaaf karta hai aur carbon dioxide ko jazb kar k hawa ko insanon
k liye qabil-e-istemal bnata hai jab k hum is k jawab mein in k liye kya karte hain hum inko
bilawajeh kaat dete hain aur apne gharmein in k liye jaga mukhtas nahi karte
aur inki qadar nahi karte aur inki zarurat aur in k kaam ko koi ahmiat nahi
dete .
Deegar taraqi yafta
qaumein inki ahmiat ko samjhti hain aur apni nayi nasal ko shuru se darakhton
se muhabbat karna sikhati hain , unhen
school ki ibtidai classes se parks aur jangalat ki sair karate hain , inhen
btate hain k insanon aur jangli hayat ki baqa sirf darkhton ki waja se mumkin
hai . Darakht hi hain jo dunya ka darja-e-harart tawazun mein rakhte hain yehi
mazboot aur sehat mnd qaumen apne shehron ki garmi ko control rakhne k liye
darkhton ka sahara lete hain aur thoray thoray faslay per parks , masnooi
jangalat aur jheelen waghaira bnate hain . Bahar k mumalik mein rihaishi ilaqon
mein sarhkon ke kinare aur gharon k sath darkhton ka lagana lazmi hota hai ta k
hawa saaf suthri aur mahol sehatmand rahe .
Pakistan main tezi se katte hue jangalat hamaray liye
lamha-e-fikria hain k dunya mein mahol ka tawazun bigarh raha hai aur yeh baat
hamari anay wali naslon k liye khatra hai k hum in k liye kis qadar ghair sehat
mand mahol bana rahe hain shayad iski waja hamaray han taleem ki kami ya shaoor
ki tarbiat ka na hona hai k hum apne hathon se apni anay wali nasal ko
maholiati beemarion ke garhay mein dhakel rahe hain , jab tak hum khud inki
ahmiat nahin samjhen gay apne bachon ko kya sikhaenge . Yeh hamara kaam hai k bachon ko ibtidai
classes se sikhaen k darakht hamaray dost hain , in k baghair zindagi mumkin
nahin , yeh hamaray who mahafiz hain jin ko qudrat ne jo kaam dia hai woh sadion
se khamoshi ke sath karte jarahe hain aur karte rahenge aur ab yeh hamara kaam
hai k hum apne jangalat ki hifazat karen aur aise iqdamat karen jin se yeh
hamesha qaim rahen aur hamari dunya sehat mand rahe .
No comments:
Post a Comment