KARACHI KE MASAIL
Karachi Pakistan ka sabse barha shehar hai aur apne
mehl-o-wuqoo ki waja se dunya k un shehron mein iska shumar hota hai jo mulk ki
taraqi mein reerh ki haddi ki si haisiat rakhte hain , yeh aik wasee-o-areez
shehar hai jis ki abaadi 2 crore se
tajawuj kar chuki hai , har jag arihaishi imaraton ka jungle phaila hua hai
yehi waja hai k abadi k sath sath is k masail main bhi izafa hota jaraha
hai .
Karachi k barhay maslon mein se aik masla safai ka hai log
hukumat ko tou is maslay ka zimedar thairatay hain lekin khud is maslay ki
ahmiat se na waqif hain . shehri jo kachra apne gharon se bahar phenkte hain uski
waja se tafun phailta hai aur kachre k
dheron per paida honay wanay jaraseemon se beemariyan janam leti hain . Hukumati satah per jahan is nizam ko behtr
karne ki zarurat hai wahin shehriyon ko bhi apni zimidarion ka ehsas karna hoga
.
Karachi ka doosra barha masla pani aur bijli ka hai , ghair
ailania load shedding ne shehrion ki zindagi ajeeran kardi hai 8 se 10 ghante
ki loadshedding ne kayi masail ko janam dia hai . Bijli ki bandish se hydril
pump mutasir hotay hain jiski waja se ilaqon mein paani bnd hojata hai jab k
karachi k kuch ilaqay aise bhi hain jahan aksar-o-beshtar pani ki bandish rehti
hai jis se shehrion ko shadeed mushkilat ka samna rehta hai .bijli ki bandish
sanati ilaqon ko beinteha mutasir karti hai jo maishat ki tabahi ka bais ban
rahi hai .
Karachi aik gunjan abad shehr hai yahan doosray ilaqon se
anay walon ka din-ba-din izafa horaha hai , tezi se barhne wali abadi k sath
sath gadagari ka masla bhi barhi ahmiat ikhtiar kar gaya hai . Pehle tou
mukhtalif tehwaron maslan eid , baqr eid per inki tadad mein izafa hota tha
lekin ab din b din inki tadad mein izafa hota jaraha hai , is maslay k hal k
liye hukumat ki janib se kiye janay walay iqdamat ka koi khatir khwa nateeja
baramad nahi hua hai .
Karachi ki abadi mein din ba din izafa jahan doosrey masail
ko janam deraha hai wahan aik sangeen masla rihaish ka bhi hai , ae din nayi nayi rihaishi schemes ki
tameerat ne jahan shehar ki khubsurati ko mutasir kiya hai wahin buland-o -bala
imaratein taaza hawa ko rok rahi hain jis ki waja se shehri ghutan ka shikar
rehte hain aur saaf suthri hawa se mehroom hotay jarahe hain .
Karachi ka aik aur ahem masla traffic ka hai , aye din
Karachi ki barhi shahrahon per traffic jam rehta hai jis ki waja se logon ko
apni manzil tak puhachne mein dushwari aur shadeed zehni dabao ka samna karna
parhta hai .
Kayi saalon se Karachi ko dehshatgardi ne apni lapait mein
lia hua hai , ae din honay walay dehshat gardi k waqiat se shehrion mein khauf
o hiraas paya jata hai jski waja se aam shehri shadeed zehni dabao ka shikar
hogae hain .
Karachi ko guzishta kayi barson tak roshnion k shehar k naam
se yaad kia jata tha lekin guzishta barson mein paida honay walay in masail ne
is ki roshni ko mand kardia hai lekin agar hukumat sakhti se in masail se
nimatnay ki koshish karay tou namumkin nahi k yeh shehr pehle ki tarah roshan
aur khubsurat hojae .
Great bohut help milei yahan se
ReplyDeleteBahut acha essay tha mujai Karachi ki sarkou per essay chaiya
ReplyDeleteBht hi acha mazmoon h
ReplyDeletehelpful
ReplyDeletekarachi ki khasta hali par mzmoon chahiye
ReplyDeleteVery 👍
ReplyDeleteGood