Khyber Pukhtunkhwa Hukumat Ki Karkardagi
2013 mein Pakistan mein honay walay aam intikhabat k nateeje
mein charon soobon mein alag alag jamaton ki hukumat qaim hui , Sindh mein
Pakistan Peoples Party aur Punjab mein N League ne lagatar doosri martaba
aksariat hasil kar k apni hukumat qaim ki , jab k Balochistan mein makhloot
hukumat qaim hui jis mein N League bhi shamil hai , jab k Khyber Pakhtunkhwa ne
aik aisi jamaat ka intikhab kiya jo k mulki siyasat mein tabdeeli ka naara
lekar ai aur who jamaat thi Pakistan Tehreek-e-Insaf , waise b Khyber Pukhtunkhwa k logon k baray
mein kaha jata hai k who sirf karkrdagi ki bunyad per vote dete hain yehi waja
hai k 2008 mein Khyber Pukhtunkhwa k logon ne Awami National Party ki naqis
karkardagi ko mad-e- nazar rakhte hue PTI ka intikhab kia , Khyber Pukhtunkhwa
mein PTI ki hukumat Jamat-e-Islami aur Awami Jamhoori Etihad k ishtirak se qaim
hai .
Khyber Pukhtunkhwa mein qaim PTI ki hukumat logon ki umeedon per poora utar
rahi hai aur aise bht se misaali kaam kar rahi hai jo is se pehle soobay mein
nahi hue thy , kisi bhi assembly ka bunyadi maqsad qanoon bnana hota hai aur is
assembly ko yeh aizaz hasil hai k is ne 3.5 saal k doraniye mein Pakistan ki
doosri soobayi assembliyon k muqablay mein record bills pass kiye hain jin mein
se kuch mandarja zel hain .
Conflict of Interest bill: is bill ka pass hona aik nihayat
hi ehsan qadam hai jisse bht saraha gaya kyun k yeh qanoon kisi bhi soobay mein pehli martaba nafiz kia gaya
hai , is qanoon k tehat kisi bhi hukumati aala uhdedar ko paband kia gaya hai k
who apne zati mufad k liye apne ikhtiarat ko istemal nahi karskta.
Right to information: is bill k zariye aik aam shehri ko yeh
haq diya gaya hai k who hukumati documents aur records k baray mein jo maloomat
chahay hasil kar skta hai.
Sood k khatmay ka bill: aik aur tareekhi qadam jo k khyber
pukhtunkhwa hukumat ki jani se uthaya gaya hai who hai soodi karabor ko ghair
qanooni qaar dena yanay agar khyber pukhtunkhwa mein kis ne nijji sitah per soodi
karobar kia toh ussay jail jana paray
ga. Yeh to sirf chnd mashoor qnoon hain jinko har tabqay ki janib se bht
pazeerai mili hai is k ilawa b beshumar aise qanoon hain jo k awaam ko bht faida
puhancha rahe hain .
Imran khan ne election mein yeh wada kiya tha k agar soobay
mein unki hukumat qaim hui to woh soobay bhar mein taleem ka aik hi mayar
muqarar karenge yanay governmnt aur private schools ki taleem ka mayar yaksan
hoga yeh wada unhone poora b kardia hai education reforms k bht zabrdast nataij
samne ae hain ab Khyber Pakhtunkhwa mein government schools ki taleem ka mayar
aur schools ki halat itni achi kardi gayi hai k log apne bachon ko private schools
se utha kar government schools mein daakhil kara rahain hain , is k ilawa KPK
hukumat ne police reforms per bht kaam kia hai aur police ko ghair siyasi
bnadia hai jis ko naqideen aur mukhalifeen bhi tasleem karte hain jis ki sabse barhi misaal
kpk k sitting minister Zia ullah afridi ki giriftari hai , police ko ghair
siyasi bnane k ilawa online FIR ka
system bhi kpk mein mutaraf karadya gaya hai aur police stations ki halat bhi
bhtr krdi gai hai aur is k sath sath police stations mein khwateen ki sahulat k
liye women helping desk bhi qaim ki gayi hai hai jis se khwateen istifada hasil
kar rahi hain , sehat k shobay mein bhi PTI hukumat ne numaya karkardagi ka
muzahira kiya hai , sehat aur safai ki bunyadi sahulat ko made-e-nazar rakhte
hue hospitals ki halat ko batadreej behtr bnaya gaya hai aur jadeed alaat se
arsta kia gaya hai jis se har tabqa istifada hasil kar raha hai.
KPK hukumat ki karkrdgi ko mulki aur ghair mulki satah per
bhi saraha jaraha hai jis ki misaal wold bank ki who report hai jis mein kaha
gaya hai k kpk mein human development mein behtri arahi hai . is k ilawa kuch arsa pehle bhi world
bank ki sehat se mutaliq aik report shaya hui thi jis mein peshawar ko polio se
paak qarar diya gaya tha yeh aik bht barhi baat hai k kpk hukumat polio k khatamy k liye khatirkhwa iqdamat kar
raha hai aur uska khatir khwa nataij bhi samne rahe hain kyun k polio ki
pakistan mein mojoodgi ki waja se pakistan ko safri pabandiyon ka b samna hai .
Kpk hukumat ki janib
se shuru ki gayi shajar kari muhim “Billion Tree Tsunami “ ko logon ki taraf se
bht saraha jaraha hai jahan doosry soobon mein mega projects ki waja se bht barhi
tadad mein darakht katay jarahay hain wahin kpk hukuma ne shajr kari muhim ka
aghaz kia hua hai , khyber pukhtunkhwa
khubsurat sahayati marakiz se malamal hai aur soobay mein sahayat ko farogh de
kr hukumat ko bht zyada faida hasil hosakta hai yei waja hai k kpk hukumat soobay mein sayahat ko farogh denay k liye
mukhtalif festivals ka iniqad karti rehti
hai jo k lgon ki tawaja ka markaz bnte hain maslan swat snow festival , summer festival waghaira aur haal hi main kpk ki tareekh mein
pehli dafa paragliding festival ka ineqad bhi kiya gaya jo aik tareekhi qadam
hai . Is k ilawa KPK hukumat corruption k khatmay k liye bhi ahem iqdamat kar
rahi hai .
Gharz PTI hukumaat ne 3.5 saal k doraniye mein aisi inqulabi
isilahat kin hain jin ki misal guzishta hukumaton mein nahi milti , ab dekhna yeh hai k kpk hukumat ki karkardagi
se log kitne mutmain hain aur 2018 k elections mein PTI ko hi dobara muntakhib karte hain ya kisi aur
jamat ko hukumat sambhalne ka mauqa dete hain??
COURTESY:GOOGLE IMAGES.
ZARA KHALID(M.A PREVIOUS)
No comments:
Post a Comment