Contemporary World

Dafa 144 k bawajood Sheikh Rasheed ka jalsa kerne ka elaan :2:45PM PST :Rawalpindi,Commettie Chowk per police ka action :2:46PM PST :Commettie Chowk per pathrao aur police ka laathie charge :2:49PM PST :Commettie Chowk per mojood PTI kaarkonon ki giriftariyan shuru :2:51PM PST

Sunday 23 July 2017

VIOLATION OF MEDIA ETHICS IN PAKISTAN

Its 20th century. In this era media is independant as compared to past. In past we struggled for freedom of speech, for this reason so many journalists were arrested and many press clubs were sealed, at last Pakistan got freedom of speech but we use freedom of media in a very wrong way. In daily life, we watch the news and reports that shouldn't broadcast on national TV. Such as Qandeel Baloch which was model by profession. She was brutualy murdered by her brother last year. According to media it was honour killing, as we know that she was popular for vulgarity. She took pictures with islamic scholar mufti Abdul Qawi and tried to build the negative impact of molvis and Islam across the world. Those pictures were viral on social media. Even, we saw those pictures in breaking news. After her murder we shouldn't raise this sensitive topic but its strange that there is a movie about her life named "BAAGHI". Famous Pakistani actress Saba Qamar will play the role of Qandeel in this feature film. I can't understand why we give so importance to that girl and represent her as a role model..

Tuesday 15 November 2016

PAKISTAN MEIN OLD AGE HOMES KA BARHTA HUA RUJHAAN


Walidain dunya ka sabse azeem tohfa hain , yeh woh rishta hai jiski muhabbat aur qurbaniyon per koi shak nahi , yeh rishta Allah ki apne bandon se be panah muabbat ki nishani hai k woh apni makhlooq ki khair khuahi chahta hai aur unhen kabhi tanha nahi chorhta . Jab bacha paida hota hai to woh nihayat bebas hota hai us waqt sirf walidain hotay hain jo us ki bhook mitate hain , sardi garmi se bachatay hain aur unka har tarah se khayal rakhte hain aur inhen kabhi tanha nahi chorhtay lekin jab waqt guzar jata hai aur maa , baap boorhay hojate hain aur aulad jawan hojati hai to walidain ka wujood kuch bachon per nagawar guzarta hai , jab maa , baap aulad k muhtaj hotay hain to aulad unse bezar hojati hai , inki takleefon aur pareshaniyon se ukta jati hai , woh apne kaamon ko zyada ahmiat dete hain jab k walidain k sath waqt guzarna inko waqt ka ziyan lagta hai . Jab maa baap aulad ki tawajoh k muntazir hotay hain to aulad k paas un k liye waqt nahi hota , yehi waja hai k aj kal old age homes ka rujhan barhta chala jaraha hai aur log apne walidain aur azeezon ko old age homes mein dakhil krwane ko tarjeeh de rahe hain , yeh sochey baghair k apne rishte hotay hue bhi woh ghairon k sath zindagi kis tarah guzaren gay .

Aj kal nafsa nafsi ka daur hai , waqt machini hochuka hai , rishton mein itni dooriyan aa chuki hain k ab maa , baap , behan , bhai jaise rishte bhi bojh bangae hain . Nafarman aulad apne walidain ya azeezon ko jab old age home mein puhancha deti hai to usse ehsas tak nahi hota k un k pyaray wahan kitni be kasi , tanhai , be basi aur dukhon k sath zindagi guzarenge aur apni akhri sanson tak apne azeezon ka intezar karte rahenge . Baaz auqat log apne pyaron ki tadfeen ka intezam kar k samajhte hain k unhone apna haq ada kardia magar baaz aise bad qismat bhi hotay hain jo apne azeezon ko marnay k baadhi nahi puchte .


Aj kal jaga jaga khulnay walay old age homes is baat ki nishani hain k ab rishton mein bht dooriyan a chuki hain aur logon mein rishton ka ehtiram aur bardasht ka madda khatam hota ja raha hai isi waja se old age homes mein mojood logon ki tadad mein din-ba-din izafa hota jaraha hai . Agar in idaron mein ja kr  inlogon k sath waqt guzara jae to in k dukhon ka kuch madawa hoskta hai . Hum achay musalman honay ka dawa to krte hain lekin amal bilkul bhi nahi karte jab k Islam hamein buzurgon k sath shafqat se paish anay ka hukum deta hai . Agar hum Allah k ehkamat per amal karen to woh din door nahi k jab yeh old age homes weeran hojaen gay aur hamary ghar in buzurgon ki waja se abad hojaen gay . Hamein yeh baat yaad rakhni chahye k  humne jo boya hai wohi kaatna parhega chunachay hum angrezon ki andhi taqleed mein yeh na bhool jaen k yeh old age homes maghrib ka badtareen tohfa hai jisse hum mashriqi qaum ne baghair sochay samjhe qubool karlia hai . 

COURTESY: GOOGLE IMAGES
                 
                               ZARA KHALID (M.A PREVIOUS)

KARACHI KE MASAIL 


Karachi Pakistan ka sabse barha shehar hai aur apne mehl-o-wuqoo ki waja se dunya k un shehron mein iska shumar hota hai jo mulk ki taraqi mein reerh ki haddi ki si haisiat rakhte hain , yeh aik wasee-o-areez shehar hai  jis ki abaadi 2 crore se tajawuj kar chuki hai , har jag arihaishi imaraton ka jungle phaila hua hai yehi waja hai k abadi k sath sath is k masail main bhi izafa hota jaraha hai .

Karachi k barhay maslon mein se aik masla safai ka hai log hukumat ko tou is maslay ka zimedar thairatay hain lekin khud is maslay ki ahmiat se na waqif hain . shehri jo kachra apne gharon se bahar phenkte hain uski waja  se tafun phailta hai aur kachre k dheron per paida honay wanay jaraseemon se beemariyan janam leti hain  . Hukumati satah per jahan is nizam ko behtr karne ki zarurat hai wahin shehriyon ko bhi apni zimidarion ka ehsas karna hoga .

Karachi ka doosra barha masla pani aur bijli ka hai , ghair ailania load shedding ne shehrion ki zindagi ajeeran kardi hai 8 se 10 ghante ki loadshedding ne kayi masail ko janam dia hai . Bijli ki bandish se hydril pump mutasir hotay hain jiski waja se ilaqon mein paani bnd hojata hai jab k karachi k kuch ilaqay aise bhi hain jahan aksar-o-beshtar pani ki bandish rehti hai jis se shehrion ko shadeed mushkilat ka samna rehta hai .bijli ki bandish sanati ilaqon ko beinteha mutasir karti hai jo maishat ki tabahi ka bais ban rahi hai .


Karachi aik gunjan abad shehr hai yahan doosray ilaqon se anay walon ka din-ba-din izafa horaha hai , tezi se barhne wali abadi k sath sath gadagari ka masla bhi barhi ahmiat ikhtiar kar gaya hai . Pehle tou mukhtalif tehwaron maslan eid , baqr eid per inki tadad mein izafa hota tha lekin ab din b din inki tadad mein izafa hota jaraha hai , is maslay k hal k liye hukumat ki janib se kiye janay walay iqdamat ka koi khatir khwa nateeja baramad nahi hua hai .

Karachi ki abadi mein din ba din izafa jahan doosrey masail ko janam deraha hai wahan aik sangeen masla rihaish ka bhi hai  , ae din nayi nayi rihaishi schemes ki tameerat ne jahan shehar ki khubsurati ko mutasir kiya hai wahin buland-o -bala imaratein taaza hawa ko rok rahi hain jis ki waja se shehri ghutan ka shikar rehte hain aur saaf suthri hawa se mehroom hotay jarahe hain .

Karachi ka aik aur ahem masla traffic ka hai , aye din Karachi ki barhi shahrahon per traffic jam rehta hai jis ki waja se logon ko apni manzil tak puhachne mein dushwari aur shadeed zehni dabao ka samna karna parhta hai .

Kayi saalon se Karachi ko dehshatgardi ne apni lapait mein lia hua hai , ae din honay walay dehshat gardi k waqiat se shehrion mein khauf o hiraas paya jata hai jski waja se aam shehri shadeed zehni dabao ka shikar hogae hain .

Karachi ko guzishta kayi barson tak roshnion k shehar k naam se yaad kia jata tha lekin guzishta barson mein paida honay walay in masail ne is ki roshni ko mand kardia hai lekin agar hukumat sakhti se in masail se nimatnay ki koshish karay tou namumkin nahi k yeh shehr pehle ki tarah roshan aur khubsurat hojae . 

COURTESY: GOOGLE IMAGES

                               ZARA KHALID (M.A PREVIOUS)

JANGALAT KI AHMIAT


Darakht hamari dunya , hamaray mahol k khamosh mahafiz hain jo k sadion se hamaray qudrati mahol ko bachanay ka kaam kar rahe hain , yeh woh mahafiz hain jo badlay mein kuch bhi nahi chatay hain , inhen sirf thorhi tawajo ki zarurat hoti hai jo hum insan inhe dene se katratay hain . Allah ne jab yeh dunya bnai to is ki baqa aur khubsurati k liye jangalat ko banaya ta k aik taraf to us ki paida karda makhlooq zinda reh sake aur apni ghizai zarurat poori kar sake aur yeh dunya haseen nazar asake . Aj k daur mein insan ne bht taraqi karli hai oonchi oonchi imaratein tameer kar k in mein rihaish ikhtiar karli hai  , dunya se agay doosre sayaron ki taraf barh raha hai lekin dunya mein pheli hui aloodgi ko khatam karne k lye iqdamat k baray mein koi thos qadam nahi utha raha hai halan k yeh aik intihai ahem mamala hai .  Dunya mein barhti hui hiddat aur mausamon mein rad-o-badal ko hurf-e-aam mein global warming kaha jata hai aik tarah se is kura-e-arz ka ahtejaj hai k is k sath ziyadti ki jarahi hai aur insanon ko chahye k is k sath zulm band karen aur darkhton ki be daregh katai band ki jae aur jangalat ko bachaya jae ta k qudrat zinda reh sake . Agar darkht na hon to har zinda nafs kuch ghanton mein khatam hojae kyun k darakht hamare liye taza oxygen paida karte hain , aik darkht 5 air conditions k barabar hawa saaaf karta hai aur carbon dioxide ko jazb kar k hawa ko insanon k liye qabil-e-istemal bnata hai jab k hum is k  jawab mein in k liye kya karte hain hum inko bilawajeh kaat dete hain aur apne gharmein in k liye jaga mukhtas nahi karte aur inki qadar nahi karte aur inki zarurat aur in k kaam ko koi ahmiat nahi dete .


 Deegar taraqi yafta qaumein inki ahmiat ko samjhti hain aur apni nayi nasal ko shuru se darakhton se muhabbat  karna sikhati hain , unhen school ki ibtidai classes se parks aur jangalat ki sair karate hain , inhen btate hain k insanon aur jangli hayat ki baqa sirf darkhton ki waja se mumkin hai . Darakht hi hain jo dunya ka darja-e-harart tawazun mein rakhte hain yehi mazboot aur sehat mnd qaumen apne shehron ki garmi ko control rakhne k liye darkhton ka sahara lete hain aur thoray thoray faslay per parks , masnooi jangalat aur jheelen waghaira bnate hain . Bahar k mumalik mein rihaishi ilaqon mein sarhkon ke kinare aur gharon k sath darkhton ka lagana lazmi hota hai ta k hawa saaf suthri aur mahol sehatmand rahe .


Pakistan main tezi se katte hue jangalat hamaray liye lamha-e-fikria hain k dunya mein mahol ka tawazun bigarh raha hai aur yeh baat hamari anay wali naslon k liye khatra hai k hum in k liye kis qadar ghair sehat mand mahol bana rahe hain shayad iski waja hamaray han taleem ki kami ya shaoor ki tarbiat ka na hona hai k hum apne hathon se apni anay wali nasal ko maholiati beemarion ke garhay mein dhakel rahe hain , jab tak hum khud inki ahmiat nahin samjhen gay apne bachon ko kya sikhaenge  . Yeh hamara kaam hai k bachon ko ibtidai classes se sikhaen k darakht hamaray dost hain , in k baghair zindagi mumkin nahin , yeh hamaray who mahafiz hain jin ko qudrat ne jo kaam dia hai woh sadion se khamoshi ke sath karte jarahe hain aur karte rahenge aur ab yeh hamara kaam hai k hum apne jangalat ki hifazat karen aur aise iqdamat karen jin se yeh hamesha qaim rahen aur hamari dunya sehat mand rahe .


COURTESY: GOOGLE IMAGES

         ZARA KHALID (M.A PREVIOUS)

Monday 14 November 2016

Khyber Pukhtunkhwa Hukumat Ki Karkardagi

2013 mein Pakistan mein honay walay aam intikhabat k nateeje mein charon soobon mein alag alag jamaton ki hukumat qaim hui , Sindh mein Pakistan Peoples Party aur Punjab mein N League ne lagatar doosri martaba aksariat hasil kar k apni hukumat qaim ki , jab k Balochistan mein makhloot hukumat qaim hui jis mein N League bhi shamil hai , jab k Khyber Pakhtunkhwa ne aik aisi jamaat ka intikhab kiya jo k mulki siyasat mein tabdeeli ka naara lekar ai aur who jamaat thi Pakistan Tehreek-e-Insaf  , waise b Khyber Pukhtunkhwa k logon k baray mein kaha jata hai k who sirf karkrdagi ki bunyad per vote dete hain yehi waja hai k 2008 mein Khyber Pukhtunkhwa k logon ne Awami National Party ki naqis karkardagi ko mad-e- nazar rakhte hue PTI ka intikhab kia , Khyber Pukhtunkhwa mein PTI ki hukumat Jamat-e-Islami aur Awami Jamhoori Etihad k ishtirak se qaim hai .
Khyber Pukhtunkhwa mein qaim PTI  ki hukumat logon ki umeedon per poora utar rahi hai aur aise bht se misaali kaam kar rahi hai jo is se pehle soobay mein nahi hue thy , kisi bhi assembly ka bunyadi maqsad qanoon bnana hota hai aur is assembly ko yeh aizaz hasil hai k is ne 3.5 saal k doraniye mein Pakistan ki doosri soobayi assembliyon k muqablay mein record bills pass kiye hain jin mein se kuch mandarja zel hain .

Conflict of Interest bill: is bill ka pass hona aik nihayat hi ehsan qadam hai jisse bht saraha gaya kyun k yeh qanoon kisi  bhi soobay mein pehli martaba nafiz kia gaya hai , is qanoon k tehat kisi bhi hukumati aala uhdedar ko paband kia gaya hai k who apne zati mufad k liye apne ikhtiarat ko istemal nahi karskta.
Right to information: is bill k zariye aik aam shehri ko yeh haq diya gaya hai k who hukumati documents aur records k baray mein jo maloomat chahay hasil kar skta hai.
Sood k khatmay ka bill: aik aur tareekhi qadam jo k khyber pukhtunkhwa hukumat ki jani se uthaya gaya hai who hai soodi karabor ko ghair qanooni qaar dena yanay agar khyber pukhtunkhwa mein kis ne nijji sitah per soodi karobar kia toh ussay  jail jana paray ga. Yeh to sirf chnd mashoor qnoon hain jinko har tabqay ki janib se bht pazeerai mili hai is k ilawa b beshumar aise qanoon hain jo k awaam ko bht faida puhancha rahe hain .
Imran khan ne election mein yeh wada kiya tha k agar soobay mein unki hukumat qaim hui to woh soobay bhar mein taleem ka aik hi mayar muqarar karenge yanay governmnt aur private schools ki taleem ka mayar yaksan hoga yeh wada unhone poora b kardia hai education reforms k bht zabrdast nataij samne ae hain ab Khyber Pakhtunkhwa mein government schools ki taleem ka mayar aur schools ki halat itni achi kardi gayi hai k log apne bachon ko private schools se utha kar government schools mein daakhil kara rahain hain , is k ilawa KPK hukumat ne police reforms per bht kaam kia hai aur police ko ghair siyasi bnadia hai jis ko naqideen aur mukhalifeen bhi  tasleem karte hain jis ki sabse barhi misaal kpk k sitting minister Zia ullah afridi ki giriftari hai , police ko ghair siyasi bnane k ilawa  online FIR ka system bhi kpk mein mutaraf karadya gaya hai aur police stations ki halat bhi bhtr krdi gai hai aur is k sath sath police stations mein khwateen ki sahulat k liye women helping desk bhi qaim ki gayi hai hai jis se khwateen istifada hasil kar rahi hain , sehat k shobay mein bhi PTI hukumat ne numaya karkardagi ka muzahira kiya hai , sehat aur safai ki bunyadi sahulat ko made-e-nazar rakhte hue hospitals ki halat ko batadreej behtr bnaya gaya hai aur jadeed alaat se arsta kia gaya hai jis se har tabqa istifada hasil kar raha hai.     




KPK hukumat ki karkrdgi ko mulki aur ghair mulki satah per bhi saraha jaraha hai jis ki misaal wold bank ki who report hai jis mein kaha gaya hai k kpk mein human development mein behtri  arahi  hai . is k ilawa kuch arsa pehle bhi world bank ki sehat se mutaliq aik report shaya hui thi jis mein peshawar ko polio se paak qarar diya gaya tha yeh aik bht barhi baat hai k kpk hukumat  polio k khatamy k liye khatirkhwa iqdamat kar raha hai aur uska khatir khwa nataij bhi samne rahe hain kyun k polio ki pakistan mein mojoodgi ki waja se pakistan ko safri pabandiyon ka b samna hai .
Kpk hukumat ki  janib se shuru ki gayi shajar kari muhim “Billion Tree Tsunami “ ko logon ki taraf se bht saraha jaraha hai jahan doosry soobon mein mega projects ki waja se bht barhi tadad mein darakht katay jarahay hain wahin kpk hukuma ne shajr kari muhim ka aghaz kia hua hai  , khyber pukhtunkhwa khubsurat sahayati marakiz se malamal hai aur soobay mein sahayat ko farogh de kr hukumat ko bht zyada faida hasil hosakta hai yei waja  hai k kpk hukumat  soobay mein sayahat ko farogh denay k liye mukhtalif festivals ka iniqad  karti rehti hai jo k lgon ki tawaja ka markaz bnte hain maslan swat snow festival , summer  festival  waghaira aur haal hi main kpk ki tareekh mein pehli dafa paragliding festival ka ineqad bhi kiya gaya jo aik tareekhi qadam hai . Is k ilawa KPK hukumat corruption k khatmay k liye bhi ahem iqdamat kar rahi hai .




Gharz PTI hukumaat ne 3.5 saal k doraniye mein aisi inqulabi isilahat kin hain jin ki misal guzishta hukumaton mein nahi milti ,  ab dekhna yeh hai k kpk hukumat ki karkardagi se log kitne mutmain hain aur 2018 k elections mein PTI  ko hi dobara muntakhib karte hain ya kisi aur jamat ko hukumat sambhalne ka mauqa dete hain??

COURTESY:GOOGLE  IMAGES.

              ZARA KHALID(M.A PREVIOUS)

PAK-INDO MEDIA CONTROVERSIES


                          
                PAK-INDO MEDIA CONTROVERSIES               BY KIRAN HAROON
                   
 

 Aj kal Pakistan aur India ka tanaza chal rha who koi amm bat nahi haai. Ise tanaze ne bht se cheezon aur logo ko affect kia ha jisme Pakistani aur Indian filmstars bi affect howe hain.India mein rehne wale Pakistani actor ar actresses aur Pakistan ki nationality rakhne wale ya muslman waha pr is hindu extremist cheez se bht suffer kr rhe hain .Kuch hindu awaam nai chahti k Pakistan ka talent waha kaam kare ise liye ab yeeh agg bilkuk saaf nazar araai hai .Jab se Pakistan ar India ka tanaza howa ha india ma kaam krne wale muslmano per afaat aye hoyi hai jab ky Pakistan mai india ka content ab tk bnd nai howa lekin pemra na notice jari krdia hai ky 15 oct tk sare Indian content bnd krdye jayen..

Lekin Pakistani awaam Indian awaam ki trha shar pasnd nai hai woh yahan par kisi bi hindu ko apne tanaza ka shikar nai bana  rahe hai.Lekin hindu awaam ne har baat ki  had krdi hai muslaman actors aur actresses ko running movies se nikal dia gaya hai aur unko daramon advertisement se b nikal diya gaya hai.

Pemra ne yeh hukum diya ky 15 october se tamam Indian channel band krdye jayen gey aur koi b content jo Pakistani channels se dikhaya jata hai India ka who band krde 15 october se phely phely aur agar nahi band kiya tou us channel ky khilaf aur cable operator k khilaf jurmana aur saza hogi .Phely yeh sab India ki hukumat ne kiya aur uske bade Pakistan ki hukumat ne step liya.Ise per bht se bharti adakaro ar Pakistan adakarao ka rade amal aya ha .Jinhone iske upar apna reaction diya hai .Sab se zyada is chex ko agg deny wala insaan India ka bht bara Don Shiv Sinha ha woh muslmano kay bht sakt mukalif ha .woh muslmano ko apne mulk india ma bardasht nai kar sakta.

Iske ilawa jo sb se mahshor naam hain media k jo against ha Pakistani actors aur actresses usme se chand yeh hain .




AJAY DEVGUN: Ise ka kehna tha ky border pr exchange of bullets hurai ha ar hamare foujio ko mara jaraha ha to hm kase Pakistan ky culture ar funkaaro ko apni  film industry ma jgha de skty hai.

FARAH KHAN: Jo ky naam se muslman hai uska b yahi kehna ha ky Paksitani actors se zyada India ky actors bheter hain aur ine ki himayat ek aur actor Nana Patikar ne bi ki. 

Nawaz ud din Siddiqui:Ise ka kehna ha ky Pakistan aur India ki situation bht kharab ho rahi hai tou abhi Pakistani actors ko chaia k woh India ko chore de.

Abijeet Singh:Ise shaks ka kehna ha jo zada mashor b nai ha srf apni popularity brhane ky lye yeh sb statement deraha ha Pakistani funkaro ky khilaf ar unke khilaf b jo Indians ha ar Pakistani actors ko support kr rhe ha .

Kajol:Kajol ka kehna ha ky Pakistani funkaro ki zarort nai ha yaha pr kyun ke India ma bht talent hai yeh log sakht khilaf hai k koi Pakistani actor inke yaha ja ker kaam kare aur popular hon.

Salman Khan ,Saif Ali Khan aur Shahrukh khan ne Hamare actors ki himayat ki.

Salman Khan:  Ne kaha k Pakistani artist terrorist nae hain aur NanaPatiker ko Pakistani artist ki beyzati nae kerni chahiye.

Shahrukh Khan:Ne kaha k kalakar kalakar hota hai chahe India mein ho ya Pakistan mein …

Saif Ali Khan:Ne kaha k hamari Industry har tarah k talent k liye khuli hoyi hai especially cross the border k artiston k liye bi

Varun Dhawn:Ka kehna hai k agar govt ise tarah  actors ko banned kere gi tou kya terrorism ruk jaye ga  

Pemra k chairmain Absar Alam ne do toke bat ki ka agar who hamari filmen aur dramen dikhayen tou hum bi unhen promote keren gey warna hum bi nae dikhayen gey

Mahira Khan ko Raees se nikal diya gaya jab key Fawad Khan ki film ko bi India mein bht si mushkilon ka samna kerna para ise k ilawa Sara Khan k dramay ko Pakistan mein koi mushkil nae hoyi “Bey Khudi “ drame ko……..

Pakistan ko chahyee k jo 7% dikha rae hain adds e.t.c pehle bi kayi bar channels per pabandi lagi magar phir dobar start ker diya jata hai ab aisa nae hona chahiye mera apna opinion tou yeh hai kyun ke ise baar hadd ho gayi hai. Ap log ise bare mein kya kahen gey k kya Indian Channels again open hoon filmen yahan dikhayin jayen???????