Contemporary World

Dafa 144 k bawajood Sheikh Rasheed ka jalsa kerne ka elaan :2:45PM PST :Rawalpindi,Commettie Chowk per police ka action :2:46PM PST :Commettie Chowk per pathrao aur police ka laathie charge :2:49PM PST :Commettie Chowk per mojood PTI kaarkonon ki giriftariyan shuru :2:51PM PST

Thursday 1 September 2016

SHADI  SE PEHLE OR BAAD K NA JAAIZ TA'ALUQAAT





                    Na mehram se ta'aluqaat shadi se pehle hon ya baaad men na jaaiz hi kehlatay hain. Is liye Islam men nikah ko itni ahmiyat di gayi hai or yehi asal ta'aluqaat hain jo shohar k bivi se or bivi k shohar se nikah k bad qaaim hotay hain. Is liye Islam jaldi shadi krnay ka hukum deta hai.  Hadees pak men hai k :
                     "Jis ne shadi ki us ne apna aadha deen bacha lia"
                       
Shadi k baad jo mard hazraat bahar apnay ta'aluqaat banatay hain uski bohot si wujuhat ho sakti hain aik waja to ye hai k unka mizaaj hi aisa hai ya phir ghar men unko apni biwi se bharpoor tawaja nahi mil rahi. Is liye wo bahar ki larkiyon men dilchaspi lenay lagtay hain, kuch chori chupay to kuch hat dharmi se khulay aam. Ye sab bohot zamano se har ma'ashray me hota a raha hai. Lekin pehle ye sab dhaka chupa tha lekin mobile phone or internet yani jadeed technology k anay k baad ye sab bohot aam ho gya hai. Jadeed technology ne mobile or internet per na mehram se baat kerna ya taaluqat qaaim krna bohot asaan ker dia hai or logon ko is jaanib raaghib kia hai. 
Saari saari rat kisi anjaan shakhs se mobile ya net  per baten krna , hoteling kerna or ghoomna phirna ab bari ya baais-e-sharam baat nahi samjhi jati. Kuch log sath ghoomnay phirnay ko hi bohot samajhtay hain or kuch log to saari hudood paar ker jatay hain. Niyat men khot zra sa aaye ya ziada, khot to a gaya or bharosa bhi kharaab hua lekin be rahravi ka shikaar logon kio is baat ka  ehsaas nahi hota or wo ye sab krna apna haq samajhtay hain. Mard hazraat ko shikayat hoti hai k unki biwi ghar or bachon ki waja se unko time nahi de pa rahi. Jab k khawateen ko shikayat  hoti hai k un ka shohar office men hi masroof rehta hai or unko time  nahi de pata. Aisi khawateen shohar se dilbardashta ho ker bahar tafreeh dhoondne nikal jati hain ya phir wo aurten jin k shohar beron-e-mulk men job kertay hain wo aurten bhi ghair mardon se na jaaiz ta'aluqaat qaaim ker leti hain.Lekin aisi khawateen ki ta'dad bohot kam hoti hai. Khawateen mard ki be twajahi  or harjana pan ko nazar andaaz ker k khud ko apnay bachon or ghar men masroof ker leti hain kyun k wo is baat per yaqeen rakhti hain k unka shohar jahan bhi gaya hai ghar ya bachon ki khatir un k paas hi lout ker aye ga.
                 " Bs aik yehi baat achi rahi mere harjaai ki"
      Hamari filmon or dramon men bhi na jaaiz ta'aluqaat ko farogh dia ja raha hai jaisay udaari, dil-e-beqaraar or zara yaad ker wghyra. Is buraai ko barhanay men media ahem kirdaar ada ker raha hai. Is k ilawa dramon or filmon k zariye dusri shaadi k riwaaj ko barhaya j raha hai jaisay hum nasheen, dua or dusri biwi wghyra. Baaz mard hazraat Islam men dusri shaadi ki ijaazat ka na jaaiz faida uthatay huay dusri larkiyon men dilchaspi lenay lagtay hain. Islam ne dusri shadi ki ijaazat k sath ye baat bhi lazmi qaraar di hai k dono biviyon k sath masaavi sulook rawa rakha jay.  Lekin mard apnay mehdood wasaail ko nazr andaz ker k or in ahkamaat ko pus-e-pusht daal ker dusri shadi racha letay hain, aisi shaadi mazeed masaail ko janam deti hai is ki behtareen misaal guzishta baras ARY per  paish kia janay  wala drama "rang laga" hai. 
               Ab shadi se pehle k na jaaiz ta'aluqaat per nazar daaltay hain. Media per paish kiye janay walay dramon or filmon ka asar bachon per baron se kahin ziada hota hai. Unka kacha zehan bohot jaldi media k asar ko qubool ker leta hai. Media ki waja se bachay waqt se pehle baray ho gay hain. Media k sath sath bachon ki be rahravi k peechay walden ki ghaflat ka bhi hath hai. Waalden bachon ko school, college or university bhej ker bilkul be fikr ho jatay hain or is baat se anjaan rehtay hain k un k bachay ki wahan kaisi sargarmiyan hain. Jab walden ko un k mashaghill ka ilm hota hai to pani sir per se guzar chuka hota hai. Jaisay guzishta baras metric class k do talba ne khud ko goli maar ker halaak kr dia, wo bhi sirf is waja se k un k walden unki shadi karanay per razamand  na thay. Ye koi filmi ya dramai scene maloom hota hai, yaqeenan ye  bachon k apnay zehen ki paidawaar nahi hai balkay media ki karastani hai. Aaj kal school, college or university men class fellow se na jaaiz ta'aluqaat qaaim kerna or usay piyaar-o-mohabbat ka naam dena bohot aam ho chuka hai. Mustaqbil k wo maymaar jin k liye hamaray aaba-o-ajdaad ne baray baray khuab dekhay wo aaj ishq-o-mohabbat ki bheent charh gay.
                             Bahar haal abhi bhi waqt hai isko control kiya ja sakta hai . Zaroori hai k is silsilay men munaasib iqdamaat kiye jaen or media se islaahi kaam liya jay to umeed hai k hum Pakistan k mustaqbil ko tareek honay se bacha saken gay.

                                             BENISH PERVEZ

                                                 MA (previous)               

                                                                            

No comments:

Post a Comment