Contemporary World

Dafa 144 k bawajood Sheikh Rasheed ka jalsa kerne ka elaan :2:45PM PST :Rawalpindi,Commettie Chowk per police ka action :2:46PM PST :Commettie Chowk per pathrao aur police ka laathie charge :2:49PM PST :Commettie Chowk per mojood PTI kaarkonon ki giriftariyan shuru :2:51PM PST

Wednesday 17 August 2016

HAMARAY MA'ASHRAY PER BHAARTI MEDIA K ASRAAT

Image result for impact of indian media pics
                   Na janay kab hon gay kum
                   In ehsaas-e-kamtari men maray logon k gham
Bht garmi hai na janay kab kam hogi, ay behn! shub shub bolo. Ye aik behn ki dusri behn se guftugu thi. Is men lafz SHUB SHUB yaqeenan herat ka ba'ais hai. Magar aise kitne hi alfaaz hain jo hamari rozmarra ki zindagi men istemaal ho rahay hain.
           Bachon ko dekhen to unka haal b is se mukhtalif nhi hai. wo bhi indian media se muta'asir  nazar aatay hain. Pakistan ki saqafat or zaban ko khatam krnay ki saazish ki ja rahi hai. India men kaha jata hai,
        "Pakistan men jo kaam hamari fojen nahi kr sakin wo Media ne kr dikhaya"
        (Apni zameen per chalnay ka saleeqa seekho, sang-e-marmar per chalo gay to phisal jao gay)
Is men hum khuda na khuasta India ko sang-e-marmar ni keh rahay. India to wo daldal hai jis men aik paun rakhnay men to bht maza aata hai magar phir paun keecher men dhansta chala jata hai. Hamaray ma'ashray per jo Bhaarti asraat ka ghalba hai, wo ksi se dhaka chupa ni hai.
        Udhaari se zindagi nahi banti kash ye bat hamaray yahan k logon ko bhi samajh a jay. TV kholo to indian ishtiharaat or dramon ki bharmaar hai. Media ke zariye Hindu apnay dramon men apni saqafat ki tarveej kr rahay hain. Rasm-o-riwaaj k farogh k liye her choti se choti rasam ko dramon men dikhaya jata hai aur hamari khawateen, nojawan or bachay ankhen band kr k unki taqleed ker rahay hain. Indian dramon men khawateen bhari zewrat zeb tan kiye hoti hain, log baray baray banglon men rehtay hain or crores ki baten kertay hain. Agr dekha jay to in k dramen haqeeqat se bohat door hain. India men ghurbat ki sharah khatarnaak had tak ziada hai, lekin apnay dramon men wo khud ko ameer kabeer zaahir krtay hain.
         Humen chahiye k hum bhi apnay dramon men apnay soobon ki saqafat ko farogh den. Hamari saqaften bhi apni jaga bohat ahmiyat ki haamil hain. Saqafat ka izhaar libaas se hota hai or hamari khawateen fashion bhi India ka hi apnaati hain. jo fashion pehle India men ata hai wohi baad men Pakistan men muta'arif kraya jata hai, khuah wo musalman khawateen ko zeb de ya nahi.
         Indian dramon men un k mazhabi tehvaar jaisay holi, diwaali or besaakhi waghyra ko baray josh-o-kharosh se manaya jata hai. Yehi waja hai k Pakistan men musalman bhi holi k tehwar ko mukhtalif nam de ker holi khelte hain khas tor per univrsities men ye aam hai. Hum janay anjanay men hinduana saqafat-o-mazhab per amal kiye ja rahay hain. Indian media apnay qomi tehwaron k moqa per aur baaz films me Pakistan or musalmano se nafrat ka izhaar krtay nazar atay hain. India wo wahid mulk hai jo ab tak Pakistan k wajood se inkaari ha or isko mitanay k der pe hai.
 Us k bawajood hamaray gulukaar-o-adakaar bharat men kam kernay k khuahishmand hain jin men Fawad Khan, Mahira Khan, Adnan Sami or Rahat Fateh Ali Khan is k ilawa aik taveel fahrist hai.Hamaray celebrities k sath India me jo sulook rawa rakh jata hai wo ksi se dhaka chupa ni hai. Hamara talent India men rul rah hai.
             Ab sawal ye paida hota hai k kon hai jo inko rokay ga? In k khilaaf action lega? Jo her channel per atay 3/4 ghanton k dramen band kraye ga? or bachon ko bataye ga k aaj jis se tum itna muta'asir ho, un hi se peecha churanay k liye hum ne trainen bhar bhar ker laashen uthaaen.......!

Image result for pics of holi and diwali             Image result for pics of holi and diwali                                                        BENISH PERVEZ           

                                                                                                   

No comments:

Post a Comment