KHWATEEN KE HOQOOQ “By Kiran Haroon”
Khwateen zindagi ki dore mein mardon
k shana bashana apna kirdar bhar poor tareeqe se aada ker rae hain. Magar aj bi
hamare aala hukmaran aurtoon ko ine k hooqooq nae dila sake. Aj bi jaggerana
nizam qayim hai.
21 century jo k literacy people ki mani jati
hai jab k zyada tar log ab bhi illiterate hain yehi waja hai jis key sabab khawateen per bht tasshadud kiya jata
hai kabhi jahez ki aar mein tou kabhi banjpan ki waja se ya koi aur gharelo
jhagre ki bina per ine per bht tashaddud kiya jata hai aur kabhi inhe torture kiya jata hai ya kabhi ine ki khoobsuarti ko
bi mayil ker diya jata hai . Khas ker Punjab mein jo 60 saala shaks se shadi se inkaar
per larki ko zinda jala diya gaya pasand ki shadi kerne per Maa ne apni hi beti
ko bari hi berehmi se jala diya jis per maa ko zara bhar bi afsos nae howa.Women police k torture se 2 larkiyon ki death hogayi,aur
bi ise k ilawa aisey bht se waqiyat hain jo k report he nae ho patay Rawan saal aurton k taqreeban 2000 cases samne
aye hain abi haal hi mein shikarpur mein bhai ne bhen ko gairat ke naam per
qatal ker diya jab tak larkiyan khud apne hooqoq kay tahafooz k liye awaaz nae uthayen gi
tab tak aisa hota rahe ga.Kyun k Khuda bi use wqt tak apki maddad nae kerta jab
tak k ap khud apni madad nae keren gey.
Punjab ne feburary 2016 mein acha iqdaam
uthaya niswaa bill ki manzori di k khawateen ko ine key ghar se bey dakhal nae
kiya jaye ga aur ine k akhrajaat uthana shohar ki zimadari hai Aur dheeat Or gaoon mein tou aj tak khwateen ko hooqoq nae diye gaye inhe aj bi ghulam samjha jata hai .Huamaima Malik ne bi
ise bill ki manzoori ki hami nazar ati hain. Social media se fame hone wali Qandeel
baloch ko gairat k naam per qatal ker diya gaya woh jaisi bi thi news ne hi aur fb ne use ko
bht highlight kiya. Jab log usay pasand hi nae kerte thay tou fb per itney
likes kyun thay???usay us ke haqooq as a wife as a citizen nae diye gaye jab k
agar media chahta tou ussay moqa diya ja saakta tha aur use k bhai ki gairat bi
itne saalon bade kyun jaagi. Hamien khawateen ko une kay hoqqoq mukammal
dilawane k liye Ngo’s ki taadad barhani hogi.Ise k ilawa aisi filmen banani
hongi jahan unhen appreciate kiya jaye jaise "BOL" film.Talemi mayyar behtar kerna hoga khwateen
ki talem per tawaja deni hogi. Kyun k jab ek aurat taleem hasil kerti hai tou
who individually nae educated hoti balke use k sath entire family educate hoti hai. Aur kya suggestion di ja sakti hain aisey waqiyat ki rok tahm key liye??????
"Khwateen kabhi bhi khud ko mazloom na samjhen ek bar agar ap ne khud ko mazloom samajh liya phir dunya bi mazloom hee samjhe gi."
"Khwateen kabhi bhi khud ko mazloom na samjhen ek bar agar ap ne khud ko mazloom samajh liya phir dunya bi mazloom hee samjhe gi."
( By "KIRAN HAROON")
No comments:
Post a Comment