RAMZAN TRANSMISSIONS
Ramzan Islam ka 9 islami mahina hai. Yeh mahina rozon k hawalay se pehchana jata hai. Is mah men khas rohani jazba paida ho jata hai. Log is mahinay ka intezar kertay hain takay qurb-e-ilahi hasil kia ja sakay. Jaisay rabi-ul-awwal ko rasool ka mahina kaha jata hai isi trah ramzan ko mominon ka mahina kehtay hain. Ramzan k muqaddas mahinay ka ehtimam na sirf Pakistan men kia jata hai balkay puri duniya k musalman is mah ka behad ehtiraam kertay hain. Is mah men puri duniya men khanay peenay ki ashiya ki qeemten kam ker di jati hain. Is muqadddas mahinay men shetan ko band ker dia jata hai or Allah ki rehmaton ki barsaat hoti hai.. Is mah k khatam honay k bad musalmano ko Allah ki traf se Eid tohay men milti hai. Irshaad hai:
Rozadaar k liye do khushiyan hain aik iftaar k waqt or dusri apne rab se mulaqaat k waqt.
Ramzan k hawalay se TV per mukhtalif shows aatay hain. In men sab se ahem Ramzan transmission ka trend hai jo her channel se paish ki jati hai, chahay wo entertainment channel ho ya news channnel. In transmissions ki aik dor hai or her channel aik dusray per sabqat hasil kernay men laga hua hai. Kuch channels per transmissions k host badaltay rehtay hain or kuch channels per her saal wohi hosts hotay hain. Ye transmission 15 ya 16 ghantay ki hoti hai. Kuch channels per subah sham alag alag alag hosts hotay hain or kuch channels per subah sham aik hi host hota hai. Ye transmission kerna intehai mehnat talab kaam hai. Is men news anchors, singers, mazhabi scholars or actors sab hi hissa letay hain jaisay Waseem Badami, Junai Jamshed, Aamir Liaquat, Sadia Imam, Javeria Saud, Maya Khan, Farah Sadia, Bilal Qutub or Sahir Lodhi waghyra shamil hain. Her sal kisi aik transmission ko sab se ziada rating ka aizaz hasil hota hai. In ramzan transmission ki news bulletin men bhi khoob pazeraai ki jati hai. Her channel apni ramzan transmission ko promote kernay k liye transmission ki jhalkiyan news buulletin men dikhata hai.
In Ramzan transmissions ki ahem khususiyaat or segments ye hain :
NAAT KA MUQABLA:
Ramzan transmissions men naat k muablay k liye baqaida aik segment rakha jata hai. Jis men puraay Pakistan se logon ko muntakhib kia jata hai. Is segment men ziada ter talba hissa letay hain. Is segment men baray baray namwar naat khuan judge k faraiz anjaam detay hain or participants ki hosla afzaai or islah kertay hain. Ye muqabla team wise bi hota hai. Jaisay 5 naat khuan hain to unki 5 teamen yani panchon ki alag alag. Jo is muqablay men fatah haasil kerta hai usay 29th rozay ko gaari or deegar qeemti ashiya bator inam diye jatay hain.
SAWALAAT KA SESSION:
Is segment men transmission men mojood audience se sawaalat kiye jatay hain or sahi jawab denay per qeemti tahaif diye jaata hain. Ismen chotay baray sab barh charh ker hissa letay hain. Is k ilawa wo log jo ghar men beth ker transmission dekh rahay hain wo live call k zariye is segment men paricipate kertay hain or sawal ka sahi jawab dekr inamaat hasil kertay hain. Kuch transmissions men sham k wat iftaaar se pehle team wise quizbhi hota hai. Jis men amooman 3 teamen shirkat kerti hain. Ye teamen roazana alag alag hoti hain. Jo team sab se ziada score kerti hai wo final k liye muntakhib ho jati hai or jo team final men fatah hasil ker leti hai usay inaam k tor per gaari di jati hai is trah in inamaat se logon ki hosla afzaai hoti hai.
ka hukum hai lekin Ramzan men khas tor per zakat k maal se mustehqeen ki madad kernay ka hukum hai. Zakat Islam ka 4 (chotha) ahem rukun hai. Is maqsad k liye ramzan transmission men is segment ko shaamil kia gya. Is segment men rozana mustahiq afraad shareek hotay hain. In logon k halaat-e-zindagi insaan per larza taari ker detay hain koi beemar hota hai, koi be ghar hota hai, kisi k pas nokri nahi hoti to koi ksi or pareshani ka shikaar nazar aata hai. In logon ki imdad k liye live calls ker k log paison ka bandoobast kertay hain. Is segment men na sirf Pakisstan se balkay puri duniya se log imdaad kertay hain. Is trah bht logon ka bhala hota hai.
Ramzan k 29 rozay ko jab roet hilal comittee ka ijlaas hota hai or Pakistan k mukhtalif shehron men chand dekha jata hai. Muqararra waqt tak shahadat ki mosooli ka intezar kia jata hai. Kabhi chand nazra a jata hai to 29 rozay hotay hain or ager chand 29 rozay ko nazar na aye to 30 rozay hotay hain. Chand dekhtay hi logon men khushi ki leher dor jati hai or ramzan ka muqaddas mahina ikhtitam pazeer hota hai.
BAIT BAZI:
Ab ramzan transmission men bait bazi ka naya session shamil kia gya hai. Ye intehai dilchasp muqbla hota hai. Is men mashoor or naamwar taleemi idaron k laaiq talba hissa letay hain. Is segment men bohot mayari ashaar perhay jatay hain. Ye ashaar mazahiya, sanjeeda or ishqiya hotay hain. In talba ki islah or hosla afzai kernay k liye namwer shora(poets) ki aik team bethti hai.
TAQREERI MUQAABLA:
Is segment men mukhtalif mozooaat hotay hain jin per taqreer kerni hoti hai. Is segment men bhi talba hi shirkat kertay hain. Is segment men do qarardaden hoti hain, koi aik qarardaad ki himayat kerta hai to koi dusri lekin jis qaraardad k haq men achi taqreeren hoti hain wo manzoor hoti hai. In taqreeron se haazreen-o-naazreen ka khoon garmaya jata hai .
COOKING SEGMENT:
Ye transmission ka ahem segment hai. Is men mukhtalif mazedaar khanay banaye jatay hain. Is maqsad k liye mashoor or tajarba kaar cooking experts ko bulaya jata hai. Jis men ramzan k hawalay se bhi khanay banaye jatay hain jaisay iftaaar-o-sehri ki tayari or jab Eid qareeb anay lagti hai to Eid k makhsoos khanay jaisay sheer khurma, biryani, karahi, haleem or qorma waghyra ki tarakeeb batai jati hain kyun k ramzan k foran baad se hi Eid per dawaton ka silsila chal perta hai.ULMA SE SAWALAAT KA SESSION:
Is segment k liye transmission men mashoor aalim-e-deen or mufti hazraat ko dawat di jati hai. Takay log un se deeni mamlaat k barey men koi sawaal ker saken. Ramzan men log aam tor per zakat or masaarif-e-zakat k barey men ziada sawlaat kertay hain. Is segment men transmission men mojood log bhi sawlaat kertay hain or live calls k zariye ghar men baithay log bhi in mufti hazraat ki khidmaat haasil kertay hain.NADAAR-O-MUFLIS HAZRAAT KI IMDAAD:
Islam men ghareeb-o-muflis afraad ki imdad kernayka hukum hai lekin Ramzan men khas tor per zakat k maal se mustehqeen ki madad kernay ka hukum hai. Zakat Islam ka 4 (chotha) ahem rukun hai. Is maqsad k liye ramzan transmission men is segment ko shaamil kia gya. Is segment men rozana mustahiq afraad shareek hotay hain. In logon k halaat-e-zindagi insaan per larza taari ker detay hain koi beemar hota hai, koi be ghar hota hai, kisi k pas nokri nahi hoti to koi ksi or pareshani ka shikaar nazar aata hai. In logon ki imdad k liye live calls ker k log paison ka bandoobast kertay hain. Is segment men na sirf Pakisstan se balkay puri duniya se log imdaad kertay hain. Is trah bht logon ka bhala hota hai.
BACHON KI ROZA KUSHAI KA SEGMENT:
Aisay bachay jo apni zindagi men pehli baar roza rakhtay hain un k liye ye segment transmission men shaamil kia gya hai. Is men bachon se un k khayalat-o-ahsasaat k barey men dariyaft kia jata hai k unka roza kaisa guzar raha hai or kaisa mehsoos ker rahay hain. Is trah ki baten ker k bachon ka dil behlaya jata hai or unhen inamaat se nawaz ker unki khoob hosla afzaai ki jati hai. Is segment men bachay khoob tayar ho ker atay hain jaisay unki roza kushai ka function ho raha ho.
KHUBSOORAT SET, JANWAR OR PARINDEY:
Ziada se ziada rating k liye bohot khubsoorat set banaya jata hai jaisay fountains or revolving floor hota hai. Is k ilawa khubsoorat or nayab parindey jaisay makao, mor, hans or deegar parindey hotay hain. Jab k janwaron men sher, hathi or deegar jaanwar hotay hain. Is tarah set ki khubsoorti men izafa hota hai.
No comments:
Post a Comment