Contemporary World

Dafa 144 k bawajood Sheikh Rasheed ka jalsa kerne ka elaan :2:45PM PST :Rawalpindi,Commettie Chowk per police ka action :2:46PM PST :Commettie Chowk per pathrao aur police ka laathie charge :2:49PM PST :Commettie Chowk per mojood PTI kaarkonon ki giriftariyan shuru :2:51PM PST

Wednesday, 17 August 2016

HAMARAY MA'ASHRAY PER BHAARTI MEDIA K ASRAAT

Image result for impact of indian media pics
                   Na janay kab hon gay kum
                   In ehsaas-e-kamtari men maray logon k gham
Bht garmi hai na janay kab kam hogi, ay behn! shub shub bolo. Ye aik behn ki dusri behn se guftugu thi. Is men lafz SHUB SHUB yaqeenan herat ka ba'ais hai. Magar aise kitne hi alfaaz hain jo hamari rozmarra ki zindagi men istemaal ho rahay hain.
           Bachon ko dekhen to unka haal b is se mukhtalif nhi hai. wo bhi indian media se muta'asir  nazar aatay hain. Pakistan ki saqafat or zaban ko khatam krnay ki saazish ki ja rahi hai. India men kaha jata hai,
        "Pakistan men jo kaam hamari fojen nahi kr sakin wo Media ne kr dikhaya"
        (Apni zameen per chalnay ka saleeqa seekho, sang-e-marmar per chalo gay to phisal jao gay)
Is men hum khuda na khuasta India ko sang-e-marmar ni keh rahay. India to wo daldal hai jis men aik paun rakhnay men to bht maza aata hai magar phir paun keecher men dhansta chala jata hai. Hamaray ma'ashray per jo Bhaarti asraat ka ghalba hai, wo ksi se dhaka chupa ni hai.
        Udhaari se zindagi nahi banti kash ye bat hamaray yahan k logon ko bhi samajh a jay. TV kholo to indian ishtiharaat or dramon ki bharmaar hai. Media ke zariye Hindu apnay dramon men apni saqafat ki tarveej kr rahay hain. Rasm-o-riwaaj k farogh k liye her choti se choti rasam ko dramon men dikhaya jata hai aur hamari khawateen, nojawan or bachay ankhen band kr k unki taqleed ker rahay hain. Indian dramon men khawateen bhari zewrat zeb tan kiye hoti hain, log baray baray banglon men rehtay hain or crores ki baten kertay hain. Agr dekha jay to in k dramen haqeeqat se bohat door hain. India men ghurbat ki sharah khatarnaak had tak ziada hai, lekin apnay dramon men wo khud ko ameer kabeer zaahir krtay hain.
         Humen chahiye k hum bhi apnay dramon men apnay soobon ki saqafat ko farogh den. Hamari saqaften bhi apni jaga bohat ahmiyat ki haamil hain. Saqafat ka izhaar libaas se hota hai or hamari khawateen fashion bhi India ka hi apnaati hain. jo fashion pehle India men ata hai wohi baad men Pakistan men muta'arif kraya jata hai, khuah wo musalman khawateen ko zeb de ya nahi.
         Indian dramon men un k mazhabi tehvaar jaisay holi, diwaali or besaakhi waghyra ko baray josh-o-kharosh se manaya jata hai. Yehi waja hai k Pakistan men musalman bhi holi k tehwar ko mukhtalif nam de ker holi khelte hain khas tor per univrsities men ye aam hai. Hum janay anjanay men hinduana saqafat-o-mazhab per amal kiye ja rahay hain. Indian media apnay qomi tehwaron k moqa per aur baaz films me Pakistan or musalmano se nafrat ka izhaar krtay nazar atay hain. India wo wahid mulk hai jo ab tak Pakistan k wajood se inkaari ha or isko mitanay k der pe hai.
 Us k bawajood hamaray gulukaar-o-adakaar bharat men kam kernay k khuahishmand hain jin men Fawad Khan, Mahira Khan, Adnan Sami or Rahat Fateh Ali Khan is k ilawa aik taveel fahrist hai.Hamaray celebrities k sath India me jo sulook rawa rakh jata hai wo ksi se dhaka chupa ni hai. Hamara talent India men rul rah hai.
             Ab sawal ye paida hota hai k kon hai jo inko rokay ga? In k khilaaf action lega? Jo her channel per atay 3/4 ghanton k dramen band kraye ga? or bachon ko bataye ga k aaj jis se tum itna muta'asir ho, un hi se peecha churanay k liye hum ne trainen bhar bhar ker laashen uthaaen.......!

Image result for pics of holi and diwali             Image result for pics of holi and diwali                                                        BENISH PERVEZ           

                                                                                                   

Monday, 15 August 2016


PAKISTANI MOVIES:    (By KIRAN HAROON)


Pakistani Movies 60s mein bht famous thin log dekhna pasand kerte thay old movies k songs ab bi new generation ko pasand hain bht se songs ka tou dobara se revival kiya gaya. Pakistan ki film industry use waqat shohrat ki bulandiyon per thi hamare culture ko represent kerti thi  namwar actor/actress ShamimAra ,Shabnem,Nadeem,Zeba,Muhammad Ali,Waheed Murad,Deeba jin ki stories hum apne baron se suntey area hain. Bht achi filmen use dore mein banti thin jo k bachay bare sab dekhte thay.Use waqat sensor bi lagaye jate they Fahashi wali filmon per jo k ab kaam ho chukka hai. 
Pakistan ki filmen ab wohi shohrat ki bulandiyon per ubbor hasil ker rae hain  magar ab difference hai bht use era ki films mein aur aj k era ki filmon mein Hamari filmen achi paish kash hain Hmayun Saeed, Soha Ali Abro,Shezad Sheikh,Shaan,Maira Khan,Mahnoor Baloch jo k ab new films mein dikhayi de rae hain. Magar jis tarah ki filmen ab banna start hoyi hain woh hamare culture ko represent nae kertin ap with family usey dekhne k qayyel nae ho patey hum Indian culture ko kyun adopt ker rae hain hamare awards filmen kch dramay bi ...kafi had tak une ka culture represent ker rae hain theek hai hamari ab achi filmen bann rae hain log pasand bi ker rae hain magar yeh filmen hoododon ka tayyun kerte howe bi banayi ja sakti hain aisi vulgar movies dekhna ab zyada tar logo ki habbit banti ja rae hai bht se log ise k muqhalif bi nae hain.

  Reema ki jo pehle ki filmen thi “Nikah” who achi movie thi “Yeh Dil Ap ka howa” Sana ki....aisi filmen jin se ap ko kch seekhne ko mile ya agar seekhne ko na bi mile tou at least woh vulgar type movies na hon. Pakistan mein achi movies with norms bi banayi ja sakti hain.Jaise k ab Pakistani Dramay banaye ja rae hain jo k ab log kafi appreciate ker rae hain ine dramon ko beerone mumalik wale bi Pakistan ko sara rahen hain pazeerayi mil rae hai bht achi stories per mabni hote hain yeh drama serials behtreen writers hain Pakistan mein….Indian dramay ab log itna pasand nae kerte tou aisi filmen bi banayi ja sakti hain hamare Pakistan mein talent ki koi kami nae hai pehle jaisi filmen banni chahaiye jo k ap bina jhe jak family k sath baith ker dekh saken  revival k toor per jo filmien banayi gayi thi woh phir bi behtar thin Anjuman,Aaina, Devar Bhabi, yeh sab tarang ki  movies thin ine ka jo revival howa bht achi filmen sabit hoyin.
Theek hai hum 21 century se belong rakhte hain jo k Modern society hain apni marzi ki movies bi dekh sakte hain magar hamein apne zabt-e-iqhlaq aur ussol nae bholne chahiye extra modern type of movies like “Karachi Se Lahore” “Jawani Phir Nae Ani” aisi movies jo k bilkul hi ap k culture ko show nae kerti  bilkul outclass modern movies hain yahan tak k promos dekhne k bi qabil nae hotey . ……….Shehryar Munawar ki movie “Ho Mann jahaan “ or “Waar Bin Roye “aisi movies banni chahiyen jo k famous bi hoon aur hamari new generation per bi ise ka impact behtar ho kch scenes ya song aise dal diye jate hain jin ki waja se phir woh movies dekhne k qabil nae rehtin Bharat ne Pakistan ki muzakrat ki peshkash thukra di aur phir aisi movies hi fame hoti hain.Achi culture se related ya norms ko samne rakh ker bi movies famous ho sakti hain phir kyun hum zyada tar movies vulgar hi banate hain jab k yeh vulgar movies Pakistan ko deserve nae kerti item songs hi promos mein jo dekhaye ja rahe hote thay news channel per bi Ayesha omar aur Mehwish Hayat k woh hee ise qadar vulgar they k ap dekhte hi channel change ker den sunne k qabil bi nae hain ap apni youth ko yeh sab kyun dekha rae hain jis ka jawaz hi nae hai.Aisi filmon per sensor lagana chahiye naa k" Maalik "jaisi movies per waisay tou hum sab kehte hain k Indian movies dekhne k qabil nae hotin magar jis tarreqe ki movies Pakistan mein ab ban rae hain ya jo mazeed ane wali hain who dekhne k qabil hain kya ya ho sakti hain???? Hamari filmon ka myyar bas itna hi reh gaya hai Hum behtar kyun nae ho sakte Humayun Saeed,Yasir Nawaz, Nadeem Baig jin ko tou pta hai k kaisi movies banti thin pehle …. Dramon jaisi filmen kyun nae bana sakte ????? jab k yeh sab hamare hath mein hai hum aisa ker sakte hain yeh khud kyun nae sochte k hum ek Islamic State se belong rakhte hain aur sath mein yeh bi sochna chahiye k hamri teenage generation ise se kya hasil kere gi. All movies jo k ab tak modern society  mein bann chuki hain une  ka tou mujhe nae pta ho sakta hai kch behtar bi hon but aisi vulgar movies kyunn banayi jati hain inhen roka kyun nae jata kya waja hai kyun aisi movies bann rae hain ine movies mein tamam namwar actor/actress mojood hain jabhi hm pasand kerte hain ya phir ine k songs famous hain ise waja se kyun akhir kya waja hai ??????
                                                               (By "KIRAN HAROON")

Saturday, 13 August 2016

"MEHNDI" By Kiran Haroon

                            
               Mehndi ko heena k naam se bi jana jata hai yeh shadiyon ki, chand raat ki, ek tarreqe se pehnchan hai.Ise k bagair sab kuch pheenka sa lagta hai eid ho ya koi aur deegar tehwar yeh hamare culture ka ek lazmi juzz hai Mehndi lagana Sunnat bi hai.Especially Pakistan mein isey mukhtalif tehwarron ki ronaq samjha jata hai.

Mehndi Designs:

Pehle k dore mein mehndi k designs ki bajaye hathoon aur paoon mein chittayi numa mehndi lagayi jati thi phir alag se designs ki book thi jo k ab bhi moojood hai magar  ab neet naye designs k liye social media hai jis k through designs ki bhar mar hai ab new  mehndi styles ki trend zor pakar rae hain jaise ke naggon wali mehndi mukhtalif colours bi mehndi ke designs per ab add ho rae jis se mazeed larkiyan fascinated ho rae hain 14 august per tou baqaida Pakistan k flag wali mehndi bi larkiyon ne lagwayi.
                    
 Ise ki bheni bheni smell bi bht achi lagti hai aur agar mehndi ka colour dagg ajaye tou sone pey sohaga wali bat ho jati hai. Mehndi ki bht si qismen hain ek tou hathon mein jo rachayi jati hai larkiyan har festival mein wedding,eid,birthday party,aur dosre functions mein hathon mein isey rachati hain especially bride k hathon mein aur pairon mein isey rachaya jata hai jis se dulhan ki khobsurati ko mazeed char chand lag jate hain ise k bht se designs hote hain jaise sodani Arabic yeh hum musalmano ka ek tradition  hai:
Mehndi lagayi baithi hain kuch ise adda se woh
               Mutthi mein ise k de dey dil nikal  Key”
           “Tooth k dal se hathon pe bikhar jati hai
            Yeh tou mehndi hai mehndi tou rang lati hai"  ise k ilawa bi aur bht se songs hain jo k mehndi k functions mein bajaye jate hain.

Mehndi Functions:

 Dosri woh jo as a function hoti hai jis mein dandiyan khela jata hai,dhol bajaye jate hain bride doli mein ati hai ya phir Charon ore siblings ya cousins use k oper dupatta saye ki tarha rakh ker bride ko latey hain aur larkon ka bhangra bi hota hai aur dance antakhshiri bi ise function ki tayyari ki practice kch roz pehle hi gharon mein start hojati hai hulla gulla,cheer khani,knock jhonk cousins k sath  larkiyon ka mehndi k function tak chalta rehta hai.
 Ise mein larkiyan khas ker bht enjoy kerti hain yeh taqreeb rath dair tak bi jari rehti hai dulhan ammoman ise mein yellow dress zaib taan kerti hai jab k deegar larkiyan shalwar kameez with bangles aur larke bi shalwar kameez aur ise k sath dupatta lete hain aur ise mein deegar rasmeen hoti hain.Ek na bholne wala environment create hojata hai jo k zindagi bhar k liye yaad gar ban jata hai Memon community mein larkiyan mehndi function mein  gol dairah bana kar “Rasra” khelti hain ise k bht se steps hote hain jo k kayi gano per khela jata hai magar “Mehndi ki yeh raat” Aur “Latthe di chadar” yeh gane ammoman maqhsoos hain.

Mehndi Hairs Per:

Teesri who jo ammoman hairs per lagayi jati hai colour k toor per jo k ap ko  natural brown ya marronish colour deti hai jis se ap young nd beautiful lagte hain.Zyada tar khwateen jo hair dye nae kerti who yeh use kerti hain ya woh larkiyan bi jin k hairs early age mein white hona start ho jate hain unhen mehndi natural colour deti hai.

Mehndi key Side Effects:

 Mehndi k bht side effects bi ab samne arae hain especially Kaali mehndi K jis k sabab hath bht mutasir ho rae hain bht si dulhanon k hath aur pair bi ise se mutasir ho chuke hain yehi waja hai k ab bht si zyada chemicals wali mehndiyan band ho chuki hain.Aur ab bht jaanchne k bade mehndi kharidi aur lagwayi jati hai.Bht se parlours jin ka naam hai fame hain woh mehndi ki shikayat ki waja se ine ki shohrat mann per chuki hai.

                

                                                                                            (By Kiran Haroon)


Tuesday, 9 August 2016

HONOUR KILLING IN PAKISTAN


GHERAT K NAM PER QATAL

                         Ay chand yahan na nikla kr
                        Be naam se sapne dekha kr
                       Yahan ulti ganga behti hai
                       Is des men andhay haakim hain
                        Na dertay hain na nadim hain
Qatal, qatal hai chahay gherat k nam per hi kyun na ho aur Islam men gherat k nam per auraton k qatal ki koi gunjaish nahi hai balkay Islam to aurton k sath behtar sulook ki taleem deta hai aur aurat k surkash-o-na farman honay per bhi Allah mard ko mukhtalif hikmat-e-amli ikjtiyar krnay ki salah dera hai.
            Badqismati se Pakistan men gherat k nam per honay wlay qatal men tezi se izafa ho raha hai. In men honay wlay aksar qatal men to gherat nazar hi ni ati balkay ye ba gunah qatal hotay hain. Quran pak men wazeh farma dia gya hai k:
               Aur jo koi ksi musalman ko qasdan (jan bojh kr) qatal kr dalay to us ki jagah jahanum hai jahan wo hamesha rahay ga. (surah-Nisa ayat:93)
              Dunya men gherat k nam per qatal hotay hain lekin agr Pakistan ki bat ki jay to idher ye aam si bat hai or hukumat in sab k agay bebas hai kyun k idher jo qanoon ban gya wo ban gya or gherat k nam per qatal ka qanoon bhi kuch jaghon per raij hai yani mukhtalif subon men aj bhi mojood hai. Isko mukhtalif nam bhi diye jatay hain jaisay karo kari or siyah kari wghyra.
             Pehle gherat k naam per qatal sirf gaon deehaton men hi hotay thay lekin ab ye burai sheheron tak phel gai hai. Abhi kuch dino pehle hi adaakar-o-gulukar or model Qandeel Baloch or Samia shahid ko gherat k naam per qatal ker dia gya. Qandeel Baloch ko us k bhai ne or Samia Shahid ko us k sabqa shohar ne mout k ghaat utaar dia. kiya hamari jaan itni susti hai k jab chahen baaap, bhai ya shohar hamari saansen cheen len? Yeh silsila na janay kab tak chalta rahay ga? or kitni Qandeelen or Samia apni mukhtalif kahanion k sath breaking news ban jaen gi.  
               Pehle mere ghar k andar mujhe qatal kren
               Aur phir mera sog manaen namaloom afraad
               Sawal yeh hai k gherat k nam per qatal aurton ka hi kyun hota hai jab k is men aik mard bhi shareek hota hai or is trah saza ka mustahiq to wo bhi hua. Ye jaahil log khandan ki izzat qaim rakhnay k liye orat ko hi kyun qurbaan krtay hain? khawateen k sath hi ye imtiazi sulook kyun rawa rakha jata hai? bilashuba ye riwayat sharamnaak hai balkay aik wehshiana amal hai. Wo khawateen jo gherat k nam per apnay hi ghar walon k hathon mout k ghaat utaar di jati hain to kia unko jeenay ka koi haq nahi tha, agar unse koi ghalti ho gai ho to us ki saza kiya sirf mout hai? Ye intihai sharam ki bat hai k hum us nabi k ummati honay k bawajood gherat k nam per qatal ker rahay hain jinho ne beti ko zinda dargor krnay se mana kia or beti ko rehmat qarar dia.
                Aik bhai ne apni behen ko sirf mobile istemaal krnay per maar dia. Ye kon si gherat thi? hamaray akhbaar is trah ki khabron se bharay hotay hain. Aisay logon ka nafsiyati ilaaj hona chahiye is k ilawa inhen Islami taleemat se aagahi di jay takay ye log janwar se insaan ban saken......!
                                                      Mat tehzeeb-o-tamaddun ki tum hum se baat kro
                                                      Dil ka dard chalak jay ga werna aankhon se
                                                      Gherat k is naam pe ab tak jitne khoon huay 
                                                      In men kal aik char baras ki bachi bhi dekhi
                                                      Jis ne hath men kapray ki aik gurya thaami thi
                                                      Mutthi men aik tofee thi jo us ne khaani thi
                                                      Us ki palkon per hairat thi,
                                                      Hairat men tha khouf
                                                      Gardun per khanjar ka ghaao itna gehra tha    
                                                      Jaisay usko kaatnay wala hath paraya ho
                                                      Ghar k gheratmand mardon se puch saki na wo
                                                       Baba, bhaiya , bolo gherat kis ko kehtay hain!!!
                                                       Mat tehzeeb-o-tamaddun ki tum hum se baat kro

                                    BENISH PERVEZ                                       


KHWATEEN KE HOQOOQ  “By Kiran Haroon”


Khwateen zindagi ki dore mein mardon k shana bashana apna kirdar bhar poor tareeqe se aada ker rae hain. Magar aj bi hamare aala hukmaran aurtoon ko ine k hooqooq nae dila sake. Aj bi jaggerana nizam qayim hai.
 21 century jo k literacy people ki mani jati hai jab k zyada tar log ab bhi illiterate hain yehi waja hai jis key sabab khawateen per bht tasshadud kiya jata hai kabhi jahez ki aar mein tou kabhi banjpan ki waja se ya koi aur gharelo jhagre ki bina per ine per bht tashaddud kiya jata hai aur kabhi inhe torture  kiya jata hai ya  kabhi ine ki khoobsuarti ko bi mayil ker diya jata hai . Khas ker Punjab mein jo 60 saala shaks se shadi se inkaar per larki ko zinda jala diya gaya pasand ki shadi kerne per Maa ne apni hi beti ko bari hi berehmi se jala diya jis per maa ko zara bhar bi afsos nae howa.Women police k torture se 2 larkiyon ki death hogayi,aur bi ise k ilawa aisey bht se waqiyat hain jo k report he nae ho patay  Rawan saal aurton k taqreeban 2000 cases samne aye hain abi haal hi mein shikarpur mein bhai ne bhen ko gairat ke naam per qatal ker diya jab tak larkiyan khud apne hooqoq kay tahafooz k liye awaaz nae uthayen gi tab tak aisa hota rahe ga.Kyun k Khuda bi use wqt tak apki maddad nae kerta jab tak k ap khud apni madad nae keren gey.
 Punjab ne feburary 2016 mein acha iqdaam uthaya niswaa bill ki manzori di k khawateen ko ine key ghar se bey dakhal nae kiya jaye ga aur ine k akhrajaat uthana shohar ki zimadari hai Aur dheeat Or gaoon mein tou aj tak khwateen ko hooqoq nae diye gaye inhe aj bi ghulam samjha jata hai .Huamaima Malik ne bi ise bill ki manzoori ki hami nazar ati hain. Social media se fame hone wali Qandeel baloch ko gairat k naam per qatal ker diya gaya  woh jaisi bi thi news ne hi aur fb ne use ko bht highlight kiya. Jab log usay pasand hi nae kerte thay tou fb per itney likes kyun thay???usay us ke haqooq as a wife as a citizen nae diye gaye jab k agar media chahta tou ussay moqa diya ja saakta tha aur use k bhai ki gairat bi itne saalon bade kyun jaagi. Hamien khawateen ko une kay hoqqoq mukammal dilawane k liye Ngo’s ki taadad barhani hogi.Ise k ilawa aisi filmen banani hongi jahan unhen appreciate kiya jaye jaise "BOL" film.Talemi mayyar behtar kerna hoga khwateen ki talem per tawaja deni hogi. Kyun k jab ek aurat taleem hasil kerti hai tou who individually nae educated hoti balke use k sath entire family educate hoti hai. Aur kya suggestion di ja sakti hain aisey waqiyat ki rok tahm key liye?????? 
"Khwateen kabhi bhi khud ko mazloom na samjhen ek bar agar ap ne khud ko mazloom samajh liya phir dunya bi mazloom hee samjhe gi."               
                                          ( By "KIRAN HAROON")