Contemporary World

Dafa 144 k bawajood Sheikh Rasheed ka jalsa kerne ka elaan :2:45PM PST :Rawalpindi,Commettie Chowk per police ka action :2:46PM PST :Commettie Chowk per pathrao aur police ka laathie charge :2:49PM PST :Commettie Chowk per mojood PTI kaarkonon ki giriftariyan shuru :2:51PM PST

Wednesday, 12 October 2016

PANAMA PAPERS

                                                                                                                           (BY Kiran Haroon)
                                           
                                                       THE PANAMA PAPERS

Panama leaks ek open catlogue hai corrupted logon ki jab se panama leaks news mein ayi hain ise ne bht se logo k secret open ker diye hain aur yeh koi chote nahi hai balke millions & billions k hain. Panama leaks mein une logon k naam hain jinhon ne corruption ker k apna black money bahar k banks mein rakha howa hai ise mein almost har mulk ki personalities shamil hain.Panama leaks mein India ki important personality jaise k Amitabh Bachan, Aishwarya rai, shamil hain aur Hollywood se Jackie Chan , Anglingilna Golie shamil hain aur jahan tak siyasi personalities ka sawal hai une ki list tou khatam hone ka naam hi nae le rae jis mein Nawaz Sharif aur unki beti Marium Nawaz ar un ke dono sahib zade Hassan Nawaz aur Hussain Nawaz ka naam sb se upar ha list mein.Lekin nawaz shareef ki family is panama leaks ko manne se saaf inkar ker rahi ha.
Jab se panama leaks ky papers issue howe hain tab se har jagha hulchul mach gayi hai opposition ise bat ka bharpur faida uthana chah rahi hai jisme Imran khan ka naam first par hai.Imran khan aur baqi oppsotion leaders apas ma mil gaye hain aur woh is baat par zor dal rahe hain k Nawaz Shareef aur unki pori family is bt ko tasleem kre ky woh is corruption mein involve hain. Is ki had darje koshsh ki jarai ha ky Nawaz shareef hukumat se resign kare aur dobara se election hoon.
Imran khan ka kehna ha ky panama leaks ka matter itni asani se khatam nai hone den gey aur isko iske logical end tak le ker jayen gey aur hum kisi dabao ma nai ayen gey aur panama papers ka mamla itni asani se khatam nai hone den gey. Dosri taraf PPP bi  is mein shamil ho gayi hai aur unke members ka b yahi kehna ha ky panama leaks ka issue itni asani se bury nahi hoga. Panama papers leaks kerne ka asal maqsad hai k un logo ko saza di  jaye jo blacklist hain aur istrhha najaiz paiso se companies chala rahe hain .
Imran Khan ka jo Rawaind March jari ha woh ise hi issue ky lye hai ky Nawaz Shareef aur jo b is kaam mein involve hai une ko uski saza di  jaye aur Nawaz Shareef apne auhdey se resign den ta ky phir se election hoon aur naye Prime Minister select kiye jayen jo mulk ki falah ky lye kaam keren.Lekin is kaam mein kch hi opposition parties shamil hain baqi log to Nawaz Shareef ke is kaam ko chupane ma lage hain Jaise key National Accountability Bureau(NAB) Punjab ne is issue k khilaf action lene se mana ker diya hai aur kaha hai ky Tahir ul Qadri ne jo proofs diye hain woh itne solid nahi hain ky unko le ker agye koi step liya jaye,
Kuch dino phely Nawaz Shareef per panama papers ki nayi  afaat aye thi to isko talne ka lye nawaz shareef ne jhot  apni tabiyat ka bahana banaya aur bahir mulk chala gaye they ar kaafi mahino tk wahi rahe thay sirf is cheeze se bachne k lye.Par opposition party ne is mamle ko thanda nai hone diya aur janab Nawaz Shareef wapis apne mulk agaye apna ilaaj krwa ker aye to wapis se yeh mamla headlines ki zeenat ban gya.
Offshores company ka matlab hai k bahir mumalik ma apki apne naam se begair taxes ki companies huna ar who bank apke naam ko public nai karygy aur istrha ap jitni chahe companies apne naam se bana sakty hain yeh ek tareeqa ha jo black money ko white money ma transfer krta hai.

Nawaz Shareef ne awaam ka paisa khaya ar Pakistan ka paisa le ja ker bahir ky mulk ma rakh dia aur Pakistan ko itne mulk ka karzdar bana diya ..aur apne naam ki companies khul li na ky apne naam ki balke inke bachu ky naam ky flates aur companies bahir bari tadad mein mojood hain.
Ab awam chahti ha ky une ki is jhoty Prime Minister se jaaan chuty jaye aur unka paisa wapis aye jis se Pakistan ky halat kch bhetar hoon aur berozgari khatam ho ab awam is silsale ma opposition ka sth deraai ha taky mulk ma kch tabdeli aye.
Ise hi liye har koi ab bharpur koshish ker raha hai apni taraf se awam ,opposition leaders aur army bhi ab Nawaz Shareef ko apne tareeqy se chala rahi hai .Raheel shareef is mamle ko itni asani se jane nai dega ar who is cheeze k liye nawaz shareef se pora ehtisab lega.
Aam awaam chahti ha ky Nawaz Shareef aur woh sare log jo is corruption mein shamil hain unka ehtisab ho aur Pakistani ki awaam ka paisa wapis se Pakistan mein aye aur Pakistan ky halat ise tarha bheter hon aur ab Nawaz Shareef ky khandaan se koi b siyasat ma nahi rahe ine sab ko jail ma dala jaye kyun ke awaam ki nazar mein yeh log chor hain aur ine se ek ek paise ka hisab liya jaye.

Iske ilawa mashoor footballer messi jo FC BARCELONA ka player hai uska b ine offshores companies mein naam hi usne b ise tarha apni bht si companies aur ghar ise hi tarha bagair taxes ky lye howe hain aur uska naam b samne nai ata.Ise ke ilawa bollywood actos Ajay devgan jo india ka ek middle level ka actor hai uski b companies hai british virgin islands.Iske ilawa Aishwaria Rai ki b bht si jaidad hain aur uske sath sath uske parents ki jaidaden hain .Lekin abhi tak India aur bhair ky mumalik mein bi koi ehtisab nahi howa hai kyunke kahin b koi paison se bara qanon nai hai.
Aj kal imran khan dobara news ma araha hai aur use ka yeh kehna hai k Nawaz Shareef panama papers ka ehtisab de ya apne auhdey se resign ker de.Lekin imran khan ka b zyada log sath nahi de rahe hain sab Nawaz Shareef k sath hain.Aj kal Imran Khan chutiyon par gaye howe hain wapis aa ker une ka kehna ha k woh ab bills wagera pay nai keren gey naa hi awam aar dharna den gey ta ky Nawaz Shareef ka ehtisab ho.Ab agye dekhna ha ky Nawaz Shareef is cheeze se kab tak bachte hain aur kab tak une ka ar une ki family ka ehtisab nahi hoga.Nawaz Shareef ki ek ek family k members is cheeze mein shamil hain aur sab ky naam par companies majood hain sab k pas Pakistan ka paisa hai aur inki bht sari jaidad bhar mujood hain .Sirf  Nawaz Shareef ya uski family ki  balke aurbht se logo ki Pakistan ka paisa khaya ha aur bhar le gaye hain aur ise mein PPP party k b kayi rehnuma shamil ha le kin ab unki hukumat nahi tou unse koi hisab nai mang rha jab ky unhone b itna hi paisa khaya ha aur Pakistan ka zyada tar paisa bhar le gaye hain ..PPP party b apne zamene ki corrupt tareen party hai .yeh b andar hi andar nawaz shareef se mili hoyi hai.
Imran Khan abi tak apni awaaz bina kisi darr k apni awaz utha rae hain Nawaz Shareef ne jo auhday par ane se pehle awamm se wade kiye une ko bi woh poora nae ker paye taaham kuch behtari to hoyi hai magar jab se yeh paper leak out howe hain awaam ka bharoosa ine par dagmaga sa gaya hai aur pori awaam ka ek hi sawal hai “Akhir kab tak ise tarha ky log siyasat mein reh kr Pakistan ka paisa kaheye gey?

Sunday, 9 October 2016

RAMZAN TRANSMISSIONS

              Ramzan Islam ka 9 islami mahina hai. Yeh mahina rozon k hawalay se pehchana jata hai. Is mah men khas rohani jazba paida ho jata hai. Log is mahinay ka intezar kertay hain takay qurb-e-ilahi hasil kia ja sakay. Jaisay rabi-ul-awwal ko rasool ka mahina kaha jata hai isi trah ramzan ko mominon ka mahina kehtay hain. Ramzan k muqaddas mahinay ka ehtimam na sirf Pakistan men kia jata hai balkay puri duniya k musalman is mah ka behad ehtiraam kertay hain. Is mah men puri duniya men khanay peenay ki ashiya ki qeemten kam ker di jati hain. Is muqadddas mahinay men shetan ko band ker dia jata hai or Allah ki rehmaton ki barsaat hoti hai.. Is mah k khatam honay k bad musalmano ko Allah ki traf se Eid tohay men milti hai.  Irshaad hai:
                Rozadaar k liye do khushiyan hain aik iftaar k waqt or dusri apne rab se mulaqaat k waqt.
 Ramzan k hawalay se TV per mukhtalif shows aatay hain. In men sab se ahem Ramzan transmission ka trend hai jo her channel se paish ki jati hai, chahay wo entertainment channel ho ya news channnel. In transmissions ki aik dor hai or her channel aik dusray per sabqat hasil kernay men laga hua hai. Kuch channels per transmissions k host badaltay rehtay hain or kuch channels per her saal wohi hosts hotay hain. Ye transmission 15 ya 16 ghantay ki hoti hai. Kuch channels per subah sham alag alag alag hosts hotay hain or  kuch channels per subah sham aik hi host hota hai. Ye transmission kerna intehai mehnat talab kaam hai. Is men news anchors, singers, mazhabi scholars or actors sab hi hissa letay hain jaisay Waseem Badami, Junai Jamshed, Aamir Liaquat, Sadia Imam, Javeria Saud, Maya Khan, Farah Sadia, Bilal Qutub or Sahir Lodhi waghyra shamil hain. Her sal kisi aik transmission ko sab se ziada rating ka aizaz hasil hota hai. In ramzan transmission ki news bulletin men bhi khoob pazeraai ki jati hai. Her channel apni ramzan transmission ko promote kernay k liye transmission ki jhalkiyan news buulletin men dikhata hai. 
In Ramzan transmissions ki ahem khususiyaat or segments ye hain :

NAAT KA MUQABLA:

Ramzan transmissions men naat k muablay k liye baqaida aik segment rakha jata hai. Jis men puraay Pakistan se logon ko muntakhib kia jata hai. Is segment men ziada ter talba hissa letay hain. Is segment men baray baray namwar naat khuan judge k faraiz anjaam detay hain or participants ki hosla afzaai or  islah kertay hain. Ye muqabla team wise bi hota hai. Jaisay 5 naat khuan hain to unki 5 teamen yani panchon ki alag alag. Jo is muqablay men fatah haasil kerta hai usay 29th rozay ko gaari or deegar qeemti ashiya  bator inam diye jatay hain.

SAWALAAT KA SESSION: 

Is segment men transmission men mojood audience se sawaalat kiye jatay hain or sahi jawab denay per qeemti tahaif diye jaata hain. Ismen chotay baray sab barh charh ker hissa letay hain. Is k ilawa wo log jo ghar men beth ker transmission dekh rahay hain wo live call k zariye is segment men paricipate kertay hain or sawal ka sahi jawab dekr inamaat hasil kertay hain. Kuch transmissions men sham k wat iftaaar se pehle team wise quizbhi hota hai. Jis men amooman 3 teamen shirkat kerti hain. Ye teamen roazana alag alag hoti hain. Jo team sab se ziada score kerti hai wo final k liye muntakhib ho jati hai or jo team final men fatah hasil ker leti hai usay inaam k tor per gaari di jati hai is trah in inamaat se logon ki hosla afzaai hoti hai.

BAIT BAZI:

Ab ramzan transmission men bait bazi ka naya session shamil kia gya hai. Ye intehai dilchasp muqbla hota hai. Is men mashoor or naamwar taleemi idaron k laaiq talba hissa letay hain. Is segment men bohot mayari ashaar perhay jatay hain. Ye ashaar mazahiya, sanjeeda or ishqiya hotay hain. In talba ki islah or hosla afzai kernay  k liye namwer shora(poets) ki aik team bethti hai.

TAQREERI MUQAABLA:

Is segment men mukhtalif mozooaat hotay hain jin per taqreer kerni hoti hai. Is segment men bhi talba hi shirkat kertay hain. Is segment men do qarardaden hoti hain, koi aik qarardaad ki himayat kerta hai to koi dusri lekin jis qaraardad k haq men achi taqreeren hoti hain wo manzoor hoti hai. In taqreeron se haazreen-o-naazreen ka khoon garmaya jata hai . 

COOKING SEGMENT:

Ye transmission ka ahem segment hai. Is men mukhtalif mazedaar khanay banaye jatay hain. Is maqsad k liye mashoor or tajarba kaar  cooking experts ko  bulaya jata hai.  Jis men ramzan k hawalay se bhi  khanay banaye jatay hain jaisay iftaaar-o-sehri ki tayari or jab Eid qareeb anay lagti hai to Eid k makhsoos khanay jaisay sheer khurma, biryani, karahi, haleem or qorma waghyra ki tarakeeb batai jati hain  kyun k ramzan k foran baad se hi Eid per dawaton ka silsila chal perta hai.

ULMA SE SAWALAAT KA SESSION: 

Is segment k liye transmission men  mashoor aalim-e-deen or mufti hazraat ko dawat di jati hai. Takay log un se deeni mamlaat k barey men koi sawaal ker saken. Ramzan men log aam tor per zakat or masaarif-e-zakat k barey men ziada sawlaat kertay hain. Is segment men transmission men mojood log bhi sawlaat kertay hain or live calls k zariye ghar men baithay log bhi in mufti hazraat ki khidmaat haasil kertay hain.

NADAAR-O-MUFLIS HAZRAAT KI IMDAAD:

Islam men ghareeb-o-muflis afraad ki imdad kernay

ka hukum hai lekin Ramzan men khas tor per zakat k maal se mustehqeen ki madad kernay ka hukum hai. Zakat Islam ka 4 (chotha) ahem rukun hai. Is maqsad k liye ramzan transmission men is segment ko shaamil kia gya. Is segment men rozana mustahiq afraad shareek hotay hain. In logon k halaat-e-zindagi insaan per larza taari ker detay hain koi beemar hota hai, koi be ghar hota hai, kisi k pas nokri nahi hoti to koi ksi or pareshani ka shikaar nazar aata hai. In logon ki imdad k liye live calls ker k log paison ka bandoobast kertay hain. Is segment men na sirf Pakisstan se balkay puri duniya se log imdaad kertay hain. Is trah bht logon ka bhala hota hai.

BACHON KI ROZA KUSHAI KA SEGMENT:

Aisay bachay jo apni zindagi men pehli baar roza rakhtay hain un k liye ye segment transmission men shaamil kia gya hai. Is men bachon se un k khayalat-o-ahsasaat k barey men dariyaft kia jata hai k unka roza kaisa guzar raha hai or kaisa mehsoos ker rahay hain. Is trah ki baten ker k bachon ka dil behlaya jata hai or unhen inamaat se nawaz ker unki khoob hosla afzaai ki jati hai. Is segment men bachay khoob tayar ho ker atay hain jaisay unki roza kushai ka function ho raha ho. 

KHUBSOORAT SET, JANWAR OR PARINDEY:

Ziada se ziada rating k liye bohot khubsoorat set banaya jata hai jaisay fountains or revolving floor hota hai. Is k ilawa khubsoorat or nayab parindey jaisay makao, mor, hans or deegar parindey hotay hain. Jab k janwaron men sher, hathi or deegar jaanwar hotay hain. Is tarah set ki khubsoorti men izafa hota hai. 

TAAQ RAATON KA KHUSSOSI AHTIMAAM:

In transmissions men ramzan ki taaq raton 21,23,25,27 or 29 shab ko ibaadat ka khususi ahtimam kia jata hai. Naaten parhi jati hain or dars dia jata hai jab k akhir men giriya-o-zari se dua mangi jati hai. Is k ilawa khawateen k liye parday ka khusoosi ahtimam hota hai. Aisi mehfilon men logon ka jazba-e-imaaani josh marta hai.


                       Ramzan k 29 rozay ko jab roet hilal comittee ka ijlaas hota hai or Pakistan k mukhtalif shehron men chand dekha jata hai. Muqararra waqt tak shahadat ki mosooli ka intezar kia jata hai. Kabhi chand nazra a jata hai to 29 rozay hotay hain or ager chand 29 rozay ko nazar na aye to 30 rozay hotay hain. Chand dekhtay hi logon men khushi ki leher dor jati hai  or ramzan ka muqaddas mahina ikhtitam pazeer hota hai.



                                        BENISH PERVEZ (MA PREVIOUS)